Font by Mehr Nastaliq Web

haram hai kya chiz dair kya hai kisi pe meri nazar nahin hai

Fana Bulandshahri

haram hai kya chiz dair kya hai kisi pe meri nazar nahin hai

Fana Bulandshahri

haram hai kyā chiiz dair kyā hai kisī pe merī nazar nahīñ hai

maiñ tere jalvoñ meñ kho gayā huuñ mujhe ab apnī ḳhabar nahīñ hai

jinheñ hai Dar rāh-e-imtihāñ se unheñ abhī ye ḳhabar nahīñ hai

agar karam un rāhbar ho kaThin koī rahguzar nahīñ hai

ba-shauq-e-sajda chale haiñ lekin 'ajīb maslak hai 'āshiqoñ

vahāñ 'ibādat harām Thahrī jahāñ tirā sañg-e-dar nahīñ hai

tirī talab terī aarzū meñ nahīñ mujhe hosh zindagī

jhukā huuñ yuuñ tere āstāñ par ki mujh ko ehsās-e-sar nahīñ hai

tirī navāzish mirī masarrat mirī tabāhī jalāl terā

kahīñ nahīñ hai mirā Thikāna jo terī sīdhī nazar nahīñ hai

jahāñ bhī hai koī miTne vaalā tirī 'ināyat ke saa.e meñ hai

banā liyā jis ko ne apnā jahāñ meñ vo dar-ba-dar nahīñ hai

har ik jagah jalva-gar hai vo but-kada ho tūr-e-sīnā

nigāh-e-duniyā hai kor bātin tirī tajallī kidhar nahīñ hai

yahīñ pe jiinā yahīñ pe marnā yahīñ hai duniyā yahīñ hai 'uqbā

'fanā' dar-e-yār ke 'alāva kahīñ hamārā guzar nahīñ hai

haram hai kya chiz dair kya hai kisi pe meri nazar nahin hai

main tere jalwon mein kho gaya hun mujhe ab apni KHabar nahin hai

jinhen hai Dar rah-e-imtihan se unhen abhi ye KHabar nahin hai

agar karam un ka rahbar ho kaThin koi rahguzar nahin hai

ba-shauq-e-sajda chale hain lekin 'ajib maslak hai 'ashiqon ka

wahan 'ibaadat haram Thahri jahan tera sang-e-dar nahin hai

teri talab teri aarzu mein nahin mujhe hosh zindagi ka

jhuka hun yun tere aastan par ki mujh ko ehsas-e-sar nahin hai

teri nawazish meri masarrat meri tabahi jalal tera

kahin nahin hai mera Thikana jo teri sidhi nazar nahin hai

jahan bhi hai koi miTne wala teri 'inayat ke sae mein hai

bana liya jis ko tu ne apna jahan mein wo dar-ba-dar nahin hai

har ek jagah tu hi jalwa-gar hai wo but-kada ho ya tur-e-sina

nigah-e-duniya hai kor baatin teri tajalli kidhar nahin hai

yahin pe jina yahin pe marna yahin hai duniya yahin hai 'uqba

'fana' dar-e-yar ke 'alawa kahin hamara guzar nahin hai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now