Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

o sanam tere na aane ki qasam khata hun main

Ghulam Moinuddin Gilani

o sanam tere na aane ki qasam khata hun main

Ghulam Moinuddin Gilani

o sanam tere na aane qasam khātā huuñ maiñ

is dil-e-betāb ko din-rāt samjhātā huuñ maiñ

kaisī āñkheñ pher liiñ anjān kaise ban ga.e

dekh kar un taraf hairān ho jaatā huuñ maiñ

duur hote hote āḳhir duur itne ho ga.e

dil meñ rakh kar phir bhī un ko duur paatā huuñ maiñ

aap apnī aañkh se aakar kisī din dekh leñ

abr-e-naisāñ tarah barsāt barsātā huuñ maiñ

jab ki milne koī sūrat nazar aatī nahīñ

le ke phir tasvīr un dil ko bahlātā huuñ maiñ

kyā karūñ us ke sivā kuchh aur to hotā nahīñ

yaad jab aate haiñ vo aañsū bahā letā huuñ maiñ

vo gile-shikve ga.e vo pyaar bāteñ ga.iiñ

ab to un ko duur se dekhtā rahtā huuñ maiñ

rasm-e-ulfat toḌ kar qat-e'-ta'alluq kar liyā

aise logoñ se mohabbat kar ke pachhtātā huuñ maiñ

kyā kahūñ kis se kahūñ ab kaun suntā hai mirī

jis taraf bhī dekhtā huuñ ġhair paatā huuñ maiñ

kuchh to batlā de zarā āḳhir mu'amma hai ye kyā

sāmne aate haiñ vo bechain ho jaatā huuñ maiñ

is chaman har kalī har phuul har har rañg meñ

husn-e-mutlaq karishma dekhtā jaatā huuñ maiñ

yād-e-rafta dil meñ le ke us bazm-e-nāz meñ

dil dabā.e sar jhukā.e yuuñ chalā jaatā huuñ maiñ

ḳhuub achchhā kahā 'mushtāq' jis ne ye kahā

be-vafā kahte haiñ tujh ko aur sharmātā huuñ maiñ

o sanam tere na aane ki qasam khata hun main

is dil-e-betab ko din-raat samjhata hun main

kaisi aankhen pher lin anjaan kaise ban gae

dekh kar un ki taraf hairan ho jata hun main

dur hote hote aaKHir dur itne ho gae

dil mein rakh kar phir bhi un ko dur hi pata hun main

aap apni aankh se aakar kisi din dekh len

abr-e-naisan ki tarah barsat barsata hun main

jab ki milne ki koi surat nazar aatī nahin

le ke phir taswir un ki dil ko bahlata hun main

kya karun us ke siwa kuchh aur to hota nahin

yaad jab aate hain wo aansu baha leta hun main

wo gile-shikwe gae wo pyar ki baaten gain

ab to un ko dur se hi dekhta rahta hun main

rasm-e-ulfat toD kar qat-e'-ta'alluq kar liya

aise logon se mohabbat kar ke pachhtata hun main

kya kahun kis se kahun ab kaun sunta hai meri

jis taraf bhi dekhta hun ghair hi pata hun main

kuchh to batla de zara aaKHir mu'amma hai ye kya

samne aate hain wo bechain ho jata hun main

is chaman ki har kali har phul har har rang mein

husn-e-mutlaq ka karishma dekhta jata hun main

yaad-e-rafta dil mein le ke us ki bazm-e-naz mein

dil dabae sar jhukae yun chala jata hun main

KHub hi achchha kaha 'mushtaq' jis ne ye kaha

be-wafa kahte hain tujh ko aur sharmata hun main

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Source :
  • Book : Asrar-ul-Mushtaq

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now