Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

phirun DhunDta mai-kada tauba tauba mujhe aaj-kal itni fursat nahin hai

Fana Bulandshahri

phirun DhunDta mai-kada tauba tauba mujhe aaj-kal itni fursat nahin hai

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    phirūñ DhūñDtā mai-kada tauba tauba mujhe āj-kal itnī fursat nahīñ hai

    salāmat rahe terī āñkhoñ mastī mujhe mai-kashī zarūrat nahīñ hai

    ye tark-e-ta.alluq kyā tazkira hai tumhāre sivā koī apnā nahīñ hai

    agar tum kaho to maiñ ḳhud ko bhulā duuñ tumheñ bhuul jaane tāqat nahīñ hai

    hamesha mire sāmne se guzarnā nigāheñ churā kar mujhe dekh lenā

    mirī jaan tum mujh ko itnā batā do ye kyā chiiz hai gar mohabbat nahīñ hai

    hazāroñ tamannā.eñ hotī haiñ dil meñ hamārī to bas ik tamannā yahī hai

    mujhe ik dafa apnā kah ke pukāro bas is ke sivā koī hasrat nahīñ hai

    phirun DhunDta mai-kada tauba tauba mujhe aaj-kal itni fursat nahin hai

    salamat rahe teri aankhon ki masti mujhe mai-kashi ki zarurat nahin hai

    ye tark-e-talluq ka kya tazkira hai tumhaare siwa koi apna nahin hai

    agar tum kaho to main KHud ko bhula dun tumhein bhul jaane ki taqat nahin hai

    hamesha mere samne se guzarna nigahen chura kar mujhe dekh lena

    meri jaan tum mujh ko itna bata do ye kya chiz hai gar mohabbat nahin hai

    hazaron tamannaen hoti hain dil mein hamari to bas ek tamanna yahi hai

    mujhe ek dafa apna kah ke pukaro bas is ke siwa koi hasrat nahin hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now