bikte hain hamin aap KHaridar hamin hain
bikte haiñ hamīñ aap ḳharīdār hamīñ haiñ
ye turfa-tamāshā sar-e-bāzār hamīñ haiñ
bulbul hamīñ zīnat vo gulzār hamīñ haiñ
har phuul meñ har phal meñ numūdār hamīñ haiñ
dil ham meñ sadā rahtā hai ham rahte haiñ dil meñ
ham aap hī dil-dāda haiñ dil-dār hamīñ haiñ
jo dekhte haiñ shān-e-ḳhudā husn-e-sanam meñ
vo ishq kī pahne hue zunnār hamīñ haiñ
ma.alūm nahii. jin ko ki ham kaun haiñ kyā haiñ
vo kho.e hue apne talab-gār hamīñ haiñ
ham shar.a meñ ahmad haiñ haqīqat meñ ahad haiñ
uTh jaa.e jo ye parda to ai yaar hamīñ haiñ
ham āp-hī mansūr haiñ ham aap anal-haq
ham shar.a ko sar dete haiñ sar-e-dār hamīñ haiñ
le le ke maze chāTe haiñ hoñToñ ko apne
'akbar' tirī shīrīnī-e-guftār hamīñ haiñ
bikte hain hamin aap KHaridar hamin hain
ye turfa-tamasha sar-e-bazar hamin hain
bulbul hamin zinat wo gulzar hamin hain
har phul mein har phal mein numudar hamin hain
dil hum mein sada rahta hai hum rahte hain dil mein
hum aap hi dil-dada hain dil-dar hamin hain
jo dekhte hain shan-e-KHuda husn-e-sanam mein
wo ishq ki pahne hue zunnar hamin hain
malum nahi jin ko ki hum kaun hain kya hain
wo khoe hue apne talab-gar hamin hain
hum shara mein ahmad hain haqiqat mein ahad hain
uTh jae jo ye parda to ai yar hamin hain
hum aap-hi mansur hain hum aap anal-haq
hum shara ko sar dete hain sar-e-dar hamin hain
le le ke maze chaTe hain honTon ko apne
'akbar' teri shirini-e-guftar hamin hain
- Book : Majmua-e-Qawwali, Part 4 (Pg. 23)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.