meri KHudi hai wo be-KHudi ki KHudi ka wahm-o-guman nahin
meri KHudi hai wo be-KHudi ki KHudi ka wahm-o-guman nahin
Brij Narayan Chakbast
MORE BYBrij Narayan Chakbast
mirī ḳhudī hai vo be-ḳhudī ki ḳhudī kā vahm-o-gumāñ nahīñ
ye surūr sāġhar-e-mai nahīñ ye ḳhumār ḳhvāb-e-girāñ nahīñ
jo zuhūr ’ālam-e-zāt hai ye faqat hujūm-e-sifāt hai
hai jahāñ kā aur vajūd kyā jo tilism vahm-o-gumāñ nahīñ
ye hayāt ’ālam-e-kHvāb hai na gunāh hai na savāb hai
vahī kufr-o-dīñ meñ ḳharāb hai jise 'ilm rāz-e-jahāñ nahīñ
na vo ḳhum meñ baade kā josh hai na vo husn jalva-farosh hai
na kisī ko raat kā hosh hai vo sahar ki shab kā gumāñ nahīñ
vo zamīñ pe jin kā thā dabdaba ki buland 'arsh pe naam thā
unheñ yuuñ falak ne miTā diyā ki mazār tak kā nishāñ nahīñ
meri KHudi hai wo be-KHudi ki KHudi ka wahm-o-guman nahin
ye surur saghar-e-mai nahin ye KHumar KHwab-e-giran nahin
jo zuhur ’alam-e-zat hai ye faqat hujum-e-sifat hai
hai jahan ka aur wajud kya jo tilism wahm-o-guman nahin
ye hayat ’alam-e-kHwab hai na gunah hai na sawab hai
wahi kufr-o-din mein KHarab hai jise 'ilm raaz-e-jahan nahin
na wo KHum mein baade ka josh hai na wo husn jalwa-farosh hai
na kisi ko raat ka hosh hai wo sahar ki shab ka guman nahin
wo zamin pe jin ka tha dabdaba ki buland 'arsh pe nam tha
unhen yun falak ne miTa diya ki mazar tak ka nishan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.