but mein bhi tera ya-rab jalwa nazar aata hai
but meñ bhī tirā yā-rab jalva nazar aatā hai
but-ḳhāne ke parde meñ kā'ba nazar aatā hai
saaqī ke tasavvur meñ dil saaf huā aisā
jab sar ko jhukātā huuñ shīsha nazar aatā hai
ik qatra-e-mai jab se saaqī ne chakhāyā hai
us roz se har qatra dariyā nazar aatā hai
ai 'ishq kahīñ le chal ye dair-o-haram chhūTe
un donoñ makānoñ meñ jhagḌā nazar aatā hai
mā'shūq ke rutbe ko mahshar meñ koī dekhe
allāh bhī majnūñ ko lailā nazar aatā he
'muztar' mirī āñkhoñ par vo dast-e-adā rakkheñ
phir mujh se vo ye pūchheñ ab kyā nazar aatā hai
but mein bhi tera ya-rab jalwa nazar aata hai
but-KHane ke parde mein ka'ba nazar aata hai
saqi ke tasawwur mein dil saf hua aisa
jab sar ko jhukata hun shisha nazar aata hai
ek qatra-e-mai jab se saqi ne chakhaya hai
us roz se har qatra dariya nazar aata hai
ai 'ishq kahin le chal ye dair-o-haram chhuTe
un donon makanon mein jhagDa nazar aata hai
ma'shuq ke rutbe ko mahshar mein koi dekhe
allah bhi majnun ko laila nazar aata he
'muztar' meri aankhon par wo dast-e-ada rakkhen
phir mujh se wo ye puchhen ab kya nazar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.