Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

chāhiye achchhoñ ko jitnā chāhiye

Mirza Ghalib

chāhiye achchhoñ ko jitnā chāhiye

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    chāhiye achchhoñ ko jitnā chāhiye

    ye agar chāheñ to phir kyā chāhiye

    sohbat-e-rindāñ se vājib hai hazar

    jā-e-mai apne ko khīñchā chāhiye

    chāhne ko tere kyā samjhā thā dil

    baare ab is se bhī samjhā chāhiye

    chaak mat kar jaib be-ayyām-e-gul

    kuchh udhar bhī ishārā chāhiye

    dostī parda hai begānagī

    muñh chhupānā ham se chhoḌā chāhiye

    dushmanī ne merī khoyā ġhair ko

    kis qadar dushman hai dekhā chāhiye

    apnī rusvā.ī meñ kyā chaltī hai sa.ī

    yaar hañgāma-ārā chāhiye

    munhasir marne pe ho jis umiid

    nā-umīdī us dekhā chāhiye

    ġhāfil in mah-tal.atoñ ke vāste

    chāhne vaalā bhī achchhā chāhiye

    chāhte haiñ ḳhūb-rūyoñ ko 'asad'

    aap sūrat to dekhā chāhiye

    chāhiye achchhoñ ko jitnā chāhiye

    ye agar chāheñ to phir kyā chāhiye

    sohbat-e-rindāñ se wājib hai hazar

    jā-e-mai apne ko khīñchā chāhiye

    chāhne ko tere kyā samjhā thā dil

    bare ab is se bhī samjhā chāhiye

    chaak mat kar jaib be-ayyām-e-gul

    kuchh udhar bhī ishārā chāhiye

    dostī parda hai begānagī

    muñh chhupānā hum se chhoḌā chāhiye

    dushmanī ne merī khoyā ġhair ko

    kis qadar dushman hai dekhā chāhiye

    apnī ruswāī meñ kyā chaltī hai saī

    yar hañgāma-ārā chāhiye

    munhasir marne pe ho jis umid

    nā-umīdī us dekhā chāhiye

    ġhāfil in mah-talatoñ ke wāste

    chāhne walā bhī achchhā chāhiye

    chāhte haiñ ḳhūb-rūyoñ ko 'asad'

    aap sūrat to dekhā chāhiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now