dīvāna banānā hai to dīvāna banā de
varna kahīñ taqdīr tamāsha na banā de
ai dekhne vaalo mujhe hañs hañs ke na dekho
tum ko bhī mohabbat kahīñ mujh sā na banā de
maiñ DhūñDh rahā huuñ mirī vo sham.a kahāñ hai
jo bazm kī har chiiz ko parvāna banā de
āḳhir koī sūrat bhī to ho ḳhāna-e-dil kī
ka.aba nahīñ bantā hai to but-ḳhāna banā de
'bahzād' har ik gaam pe ik sajda-e-mastī
har zarre ko sañg-e-dar-e-jānāna banā de
dīwāna banānā hai to dīwāna banā de
warna kahīñ taqdīr tamāsha na banā de
ai dekhne walo mujhe hañs hañs ke na dekho
tum ko bhī mohabbat kahīñ mujh sā na banā de
maiñ DhūñDh rahā huñ mirī wo shama kahāñ hai
jo bazm kī har chiz ko parwāna banā de
āḳhir koī sūrat bhī to ho ḳhāna-e-dil kī
kaba nahīñ bantā hai to but-ḳhāna banā de
'bahzād' har ek gam pe ek sajda-e-mastī
har zarre ko sañg-e-dar-e-jānāna banā de
Videos
This video is playing from YouTube
Unknown
Source :
- Book : Junoon (Pg. 38)
- Author : Nasim Muqri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.