dīwāngī se dosh pe zunnār bhī nahīñ
dīvāngī se dosh pe zunnār bhī nahīñ
ya.anī hamāre jeb meñ ik taar bhī nahīñ
dil ko niyāz-e-hasrat-e-dīdār kar chuke
dekhā to ham meñ tāqat-e-dīdār bhī nahīñ
milnā tirā agar nahīñ āsāñ to sahl hai
dushvār to yahī hai ki dushvār bhī nahīñ
be-ishq umr kaT nahīñ saktī hai aur yaañ
tāqat ba-qadr-e-lazzat-e-āzār bhī nahīñ
shorīdgī ke haath se hai sar vabāl-e-dosh
sahrā meñ ai ḳhudā koī dīvār bhī nahīñ
gunjā.ish-e-adāvat-e-aġhyār yak taraf
yaañ dil meñ zo.af se havas-e-yār bhī nahīñ
Dar nāla-hā-e-zār se mere ḳhudā ko maan
āḳhir navā-e-murġh-e-giraftār bhī nahīñ
dil meñ hai yaar kī saf-e-mizhgāñ se rū-kashī
hālāñki tāqat-e-ḳhalish-e-ḳhār bhī nahīñ
is sādgī pe kaun na mar jaa.e ai ḳhudā
laḌte haiñ aur haath meñ talvār bhī nahīñ
dekhā 'asad' ko ḳhalvat-o-jalvat meñ bār-hā
dīvāna gar nahīñ hai to hushyār bhī nahīñ
dīwāngī se dosh pe zunnār bhī nahīñ
yanī hamāre jeb meñ ek tar bhī nahīñ
dil ko niyāz-e-hasrat-e-dīdār kar chuke
dekhā to hum meñ tāqat-e-dīdār bhī nahīñ
milnā tirā agar nahīñ āsāñ to sahl hai
dushwār to yahī hai ki dushwār bhī nahīñ
be-ishq umr kaT nahīñ saktī hai aur yañ
tāqat ba-qadr-e-lazzat-e-āzār bhī nahīñ
shorīdgī ke hath se hai sar wabāl-e-dosh
sahrā meñ ai ḳhudā koī dīwār bhī nahīñ
gunjāish-e-adāwat-e-aġhyār yak taraf
yañ dil meñ zoaf se hawas-e-yār bhī nahīñ
Dar nāla-hā-e-zār se mere ḳhudā ko man
āḳhir nawā-e-murġh-e-giraftār bhī nahīñ
dil meñ hai yar kī saf-e-mizhgāñ se rū-kashī
hālāñki tāqat-e-ḳhalish-e-ḳhār bhī nahīñ
is sādgī pe kaun na mar jae ai ḳhudā
laḌte haiñ aur hath meñ talwār bhī nahīñ
dekhā 'asad' ko ḳhalwat-o-jalwat meñ bār-hā
dīwāna gar nahīñ hai to hushyār bhī nahīñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.