Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dard minnat-kash-e-dawā na huā

Mirza Ghalib

dard minnat-kash-e-dawā na huā

Mirza Ghalib

dard minnat-kash-e-davā na huā

maiñ na achchhā huā burā na huā

jam.a karte ho kyuuñ raqīboñ ko

ik tamāshā huā gila na huā

ham kahāñ qismat āzmāne jaa.eñ

jab ḳhanjar-āzmā na huā

kitne shīrīñ haiñ tere lab ki raqīb

gāliyāñ khā ke be-mazā na huā

hai ḳhabar garm un ke aane

aaj ghar meñ boriyā na huā

kyā vo namrūd ḳhudā.ī thī

bandagī meñ mirā bhalā na huā

jaan huī usī thī

haq to yuuñ hai ki haq adā na huā

zaḳhm gar dab gayā lahū na thamā

kaam gar ruk gayā ravā na huā

rahzanī hai ki dil-sitānī hai

le ke dil dil-sitāñ ravāna huā

kuchh to paḌhiye ki log kahte haiñ

aaj 'ġhālib' ġhazal-sarā na huā

dard minnat-kash-e-dawā na huā

maiñ na achchhā huā burā na huā

jama karte ho kyuñ raqīboñ ko

ek tamāshā huā gila na huā

hum kahāñ qismat āzmāne jaeñ

jab ḳhanjar-āzmā na huā

kitne shīrīñ haiñ tere lab ki raqīb

gāliyāñ khā ke be-mazā na huā

hai ḳhabar garm un ke aane

aaj ghar meñ boriyā na huā

kyā wo namrūd ḳhudāī thī

bandagī meñ mirā bhalā na huā

jaan huī usī thī

haq to yuñ hai ki haq adā na huā

zaḳhm gar dab gayā lahū na thamā

kaam gar ruk gayā rawā na huā

rahzanī hai ki dil-sitānī hai

le ke dil dil-sitāñ rawāna huā

kuchh to paḌhiye ki log kahte haiñ

aaj 'ġhālib' ġhazal-sarā na huā

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now