Font by Mehr Nastaliq Web

dard se mere hai tujhko be-qarārī hae hae

Mirza Ghalib

dard se mere hai tujhko be-qarārī hae hae

Mirza Ghalib

dard se mere hai tujh ko be-qarārī haa.e haa.e

kyā huī zālim tirī ġhaflat-shi.ārī haa.e haa.e

tere dil meñ gar na thā āshob-e-ġham hausla

ne phir kyuuñ thī merī ġham-gusārī haa.e haa.e

kyuuñ mirī ġham-ḳhvārgī tujh ko aayā thā ḳhayāl

dushmanī apnī thī merī dost-dārī haa.e haa.e

umr bhar ne paimān-e-vafā bāñdhā to kyā

umr ko bhī to nahīñ hai pā.edārī haa.e haa.e

zahr lagtī hai mujhe āb-o-havā-e-zindagī

ya.anī tujh se thī ise nā-sāzgārī haa.e haa.e

gul-fishānī-hā-e-nāz-e-jalva ko kyā ho gayā

ḳhaak par hotī hai terī lāla-kārī haa.e haa.e

sharm-e-rusvā.ī se chhupnā naqāb-e-ḳhāk meñ

ḳhatm hai ulfat tujh par parda-dārī haa.e haa.e

ḳhaak meñ nāmūs-e-paimān-e-mohabbat mil ga.ī

uTh ga.ī duniyā se rāh-o-rasm-e-yārī haa.e haa.e

haath teġh-āzmā kaam se jaatā rahā

dil pe ik lagne na paayā zaḳhm-e-kārī haa.e haa.e

kis tarah kaaTe koī shab-hā-e-tār-e-barshigāl

hai nazar ḳhū-karda-e-aḳhtar-shumārī haa.e haa.e

gosh mahjūr-e-payām o chashm-e-mahrūm-e-jamāl

ek dil tis par ye nā-ummīd-vārī haa.e haa.e

ishq ne pakḌā na thā 'ġhālib' abhī vahshat rañg

rah gayā thā dil meñ jo kuchh zauq-e-ḳhvārī haa.e haa.e

dard se mere hai tujh ko be-qarārī hae hae

kyā huī zālim tirī ġhaflat-shiārī hae hae

tere dil meñ gar na thā āshob-e-ġham hausla

ne phir kyuñ thī merī ġham-gusārī hae hae

kyuñ mirī ġham-ḳhwārgī tujh ko aayā thā ḳhayāl

dushmanī apnī thī merī dost-dārī hae hae

umr bhar ne paimān-e-wafā bāñdhā to kyā

umr ko bhī to nahīñ hai pāedārī hae hae

zahr lagtī hai mujhe āb-o-hawā-e-zindagī

yanī tujh se thī ise nā-sāzgārī hae hae

gul-fishānī-hā-e-nāz-e-jalwa ko kyā ho gayā

ḳhak par hotī hai terī lāla-kārī hae hae

sharm-e-ruswāī se chhupnā naqāb-e-ḳhāk meñ

ḳhatm hai ulfat tujh par parda-dārī hae hae

ḳhak meñ nāmūs-e-paimān-e-mohabbat mil gaī

uTh gaī duniyā se rāh-o-rasm-e-yārī hae hae

hath teġh-āzmā kaam se jatā rahā

dil pe ek lagne na payā zaḳhm-e-kārī hae hae

kis tarah kaTe koī shab-hā-e-tār-e-barshigāl

hai nazar ḳhū-karda-e-aḳhtar-shumārī hae hae

gosh mahjūr-e-payām o chashm-e-mahrūm-e-jamāl

ek dil tis par ye nā-ummīd-wārī hae hae

ishq ne pakḌā na thā 'ġhālib' abhī wahshat rañg

rah gayā thā dil meñ jo kuchh zauq-e-ḳhwārī hae hae

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now