aisi nazar-faroz thi bazm-gah-e-nigar-e-fan
aisī nazar-faroz thī bazm-gah-e-nigār-e-fan
merī nazar ko bhā ga.ī ahl-e-nazar kī anjuman
naam hai aadmī to kyā asl meñ rūh-e-’ishq huuñ
saarī zamīñ hai merā ghar saarā jahāñ mirā vatan
ahl-e-duī ko 'ishq se vahdat-e-kaifiyat milī
bāda-kashoñ meñ bañT gayā pīr-e-muġhāñ kā pairahan
aisi nazar-faroz thi bazm-gah-e-nigar-e-fan
meri nazar ko bha gai ahl-e-nazar ki anjuman
nam hai aadmi to kya asl mein ruh-e-’ishq hun
sari zamin hai mera ghar sara jahan mera watan
ahl-e-dui ko 'ishq se wahdat-e-kaifiyat mili
baada-kashon mein banT gaya pir-e-mughan ka pairahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.