Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dekhnā qismat ki aap apne pe rashk aa jae hai

Mirza Ghalib

dekhnā qismat ki aap apne pe rashk aa jae hai

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    dekhnā qismat ki aap apne pe rashk aa jaa.e hai

    maiñ use dekhūñ bhalā kab mujh se dekhā jaa.e hai

    haath dho dil se yahī garmī gar andeshe meñ hai

    ābgīna tundi-e-sahbā se pighlā jaa.e hai

    ġhair ko rab vo kyūñkar mana-e-gustāḳhī kare

    gar hayā bhī us ko aatī hai to sharmā jaa.e hai

    shauq ko ye lat ki har dam naala khīñche jā.iye

    dil vo hālat ki dam lene se ghabrā jaa.e hai

    duur chashm-e-bad tirī bazm-e-tarab se vaah vaah

    naġhma ho jaatā hai vaañ gar naala merā jaa.e hai

    garche hai tarz-e-taġhāful parda-dār-e-rāz-e-ishq

    par ham aise kho.e jaate haiñ ki vo jaa.e hai

    us bazm-ārā.iyāñ sun kar dil-e-ranjūr yaañ

    misl-e-naqsh-e-mudda.ā-e-ġhair baiThā jaa.e hai

    ho ke āshiq vo parī-ruḳh aur nāzuk ban gayā

    rañg khultā jaa.e hai jitnā ki uḌtā jaa.e hai

    naqsh ko us ke musavvir par bhī kyā kyā naaz haiñ

    khīñchtā hai jis qadar utnā khiñchtā jaa.e hai

    saaya merā mujh se misl-e-dūd bhāge hai 'asad'

    paas mujh ātish-ba-jāñ ke kis se Thahrā jaa.e hai

    dekhnā qismat ki aap apne pe rashk aa jae hai

    maiñ use dekhūñ bhalā kab mujh se dekhā jae hai

    hath dho dil se yahī garmī gar andeshe meñ hai

    ābgīna tundi-e-sahbā se pighlā jae hai

    ġhair ko rab wo kyūñkar mana-e-gustāḳhī kare

    gar hayā bhī us ko aatī hai to sharmā jae hai

    shauq ko ye lat ki har dam nala khīñche jāiye

    dil wo hālat ki dam lene se ghabrā jae hai

    dur chashm-e-bad tirī bazm-e-tarab se wah wah

    naġhma ho jatā hai wañ gar nala merā jae hai

    garche hai tarz-e-taġhāful parda-dār-e-rāz-e-ishq

    par hum aise khoe jate haiñ ki wo jae hai

    us bazm-ārāiyāñ sun kar dil-e-ranjūr yañ

    misl-e-naqsh-e-muddaā-e-ġhair baiThā jae hai

    ho ke āshiq wo parī-ruḳh aur nāzuk ban gayā

    rañg khultā jae hai jitnā ki uḌtā jae hai

    naqsh ko us ke musawwir par bhī kyā kyā naz haiñ

    khīñchtā hai jis qadar utnā khiñchtā jae hai

    saya merā mujh se misl-e-dūd bhāge hai 'asad'

    pas mujh ātish-ba-jāñ ke kis se Thahrā jae hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now