digar-gūñ hai jahāñ tāroñ kī gardish tez hai saqī
digar-gūñ hai jahāñ tāroñ kī gardish tez hai saaqī
dil-e-har-zarra meñ ġhauġhā-e-rustā-ḳhez hai saaqī
matā-e-dīn-o-dānish luT ga.ī allāh-vāloñ kī
ye kis kāfir-adā kā ġhamza-e-ḳhūñ-rez hai saaqī
vahī derīna bīmārī vahī nā-mohkamī dil kī
ilaaj is kā vahī āb-e-nashāt-añgez hai saaqī
haram ke dil meñ soz-e-ārzū paidā nahīñ hotā
ki paidā.ī tirī ab tak hijāb-āmez hai saaqī
na uTThā phir koī 'rūmī' ajam ke lāla-zāroñ se
vahī āb-o-gil-e-īrāñ vahī tabrez hai saaqī
nahīñ hai nā-umīd 'iqbāl' apnī kisht-e-vīrāñ se
zarā nam ho to ye miTTī bahut zarḳhez hai saaqī
faqīr-e-rāh ko baḳhshe ga.e asrār-e-sultānī
bahā merī navā kī daulat-e-parvez hai saaqī
digar-gūñ hai jahāñ tāroñ kī gardish tez hai saqī
dil-e-har-zarra meñ ġhauġhā-e-rustā-ḳhez hai saqī
matā-e-dīn-o-dānish luT gaī allāh-wāloñ kī
ye kis kāfir-adā kā ġhamza-e-ḳhūñ-rez hai saqī
wahī derīna bīmārī wahī nā-mohkamī dil kī
ilaj is kā wahī āb-e-nashāt-añgez hai saqī
haram ke dil meñ soz-e-ārzū paidā nahīñ hotā
ki paidāī tirī ab tak hijāb-āmez hai saqī
na uTThā phir koī 'rūmī' ajam ke lāla-zāroñ se
wahī āb-o-gil-e-īrāñ wahī tabrez hai saqī
nahīñ hai nā-umīd 'iqbāl' apnī kisht-e-wīrāñ se
zarā nam ho to ye miTTī bahut zarḳhez hai saqī
faqīr-e-rāh ko baḳhshe gae asrār-e-sultānī
bahā merī nawā kī daulat-e-parwez hai saqī
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.