Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

din se dur na mazhab se alag baiTha hun

Pir Naseeruddin Naseer

din se dur na mazhab se alag baiTha hun

Pir Naseeruddin Naseer

MORE BYPir Naseeruddin Naseer

    diin se duur na maz.hab se alag baiThā huuñ

    terī dahlīz pe huuñ sab se alag baiThā huuñ

    Dhañg baat kahe koī to bolūñ maiñ bhī

    matlabī huuñ kisī matlab se alag baiThā huuñ

    bazm-e-ahbāb meñ hāsil na huā chain mujhe

    mutma.in dil hai bahut jab se alag baiThā huuñ

    ġhair se duur magar us nigāhoñ ke qarīñ

    mahfil-e-yār meñ is Dhab se alag baiThā huuñ

    yahī maslak hai mirā aur yahī merā maqām

    aaj tak ḳhvāhish-e-mansab se alag baiThā huuñ

    'umr karatā huuñ basar gosha-e-tanhā.ī meñ

    jab se vo ruuTh ga.e tab se alag baiThā huuñ

    merā andāz 'nasīr' ahl-e-jahāñ se hai judā

    sab meñ shāmil huuñ magar sab se alag baiThā huuñ

    din se dur na mazhab se alag baiTha hun

    teri dahliz pe hun sab se alag baiTha hun

    Dhang ki baat kahe koi to bolun main bhi

    matlabi hun kisi matlab se alag baiTha hun

    bazm-e-ahbab mein hasil na hua chain mujhe

    mutmain dil hai bahut jab se alag baiTha hun

    ghair se dur magar us ki nigahon ke qarin

    mahfil-e-yar mein is Dhab se alag baiTha hun

    yahi maslak hai mera aur yahi mera maqam

    aaj tak KHwahish-e-mansab se alag baiTha hun

    'umr karata hun basar gosha-e-tanhai mein

    jab se wo ruTh gae tab se alag baiTha hun

    mera andaz 'nasir' ahl-e-jahan se hai juda

    sab mein shamil hun magar sab se alag baiTha hun

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now