dil-e-nādāñ tujhe huā kyā hai
dil-e-nādāñ tujhe huā kyā hai
āḳhir is dard kī davā kyā hai
ham haiñ mushtāq aur vo be-zār
yā ilāhī ye mājrā kyā hai
maiñ bhī muñh meñ zabān rakhtā huuñ
kaash pūchho ki mudda.ā kyā hai
jab ki tujh bin nahīñ koī maujūd
phir ye hañgāma ai ḳhudā kyā hai
ye parī-chehra log kaise haiñ
ġhamza o ishva o adā kyā hai
shikan-e-zulf-e-ambarīñ kyuuñ hai
nigah-e-chashm-e-surma sā kyā hai
sabza o gul kahāñ se aa.e haiñ
abr kyā chiiz hai havā kyā hai
ham ko un se vafā kī hai ummīd
jo nahīñ jānte vafā kyā hai
haañ bhalā kar tirā bhalā hogā
aur darvesh kī sadā kyā hai
jaan tum par nisār kartā huuñ
maiñ nahīñ jāntā duā kyā hai
maiñ ne maanā ki kuchh nahīñ 'ġhālib'
muft haath aa.e to burā kyā hai
dil-e-nādāñ tujhe huā kyā hai
āḳhir is dard kī dawā kyā hai
hum haiñ mushtāq aur wo be-zār
yā ilāhī ye mājrā kyā hai
maiñ bhī muñh meñ zabān rakhtā huñ
kash pūchho ki muddaā kyā hai
jab ki tujh bin nahīñ koī maujūd
phir ye hañgāma ai ḳhudā kyā hai
ye parī-chehra log kaise haiñ
ġhamza o ishwa o adā kyā hai
shikan-e-zulf-e-ambarīñ kyuñ hai
nigah-e-chashm-e-surma sā kyā hai
sabza o gul kahāñ se aae haiñ
abr kyā chiz hai hawā kyā hai
hum ko un se wafā kī hai ummīd
jo nahīñ jānte wafā kyā hai
hañ bhalā kar tirā bhalā hogā
aur darwesh kī sadā kyā hai
jaan tum par nisār kartā huñ
maiñ nahīñ jāntā duā kyā hai
maiñ ne manā ki kuchh nahīñ 'ġhālib'
muft hath aae to burā kyā hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.