dil-e-nadan tujhe hua kya hai
dil-e-nādāñ tujhe huā kyā hai
āḳhir is dard kī davā kyā hai
ham haiñ mushtāq aur vo be-zār
yā ilāhī ye mājrā kyā hai
maiñ bhī muñh meñ zabān rakhtā huuñ
kaash pūchho ki mudda'ā kyā hai
jab ki tujh bin nahīñ koī maujūd
phir ye hañgāma ai ḳhudā kyā hai
ye parī-chehra log kaise haiñ
ġhamza-o-’ishva-o-adā kyā hai
shikan-e-zulf-e-ambarīñ kyuuñ hai
nigah-e-chashm-e-surma sā kyā hai
sabza-o-gul kahāñ se aa.e haiñ
abr kyā chiiz hai havā kyā hai
ham ko un se vafā kī hai ummīd
jo nahīñ jānte vafā kyā hai
haañ bhalā kar tirā bhalā hogā
aur darvesh kī sadā kyā hai
jaan tum par nisār kartā huuñ
maiñ nahīñ jāntā du'ā kyā hai
maiñ ne maanā ki kuchh nahīñ 'ġhālib'
muft haath aa.e to burā kyā hai
dil-e-nadan tujhe hua kya hai
aaKHir is dard ki dawa kya hai
hum hain mushtaq aur wo be-zar
ya ilahi ye majra kya hai
main bhi munh mein zaban rakhta hun
kash puchho ki mudda'a kya hai
jab ki tujh bin nahin koi maujud
phir ye hangama ai KHuda kya hai
ye pari-chehra log kaise hain
ghamza-o-’ishwa-o-ada kya hai
shikan-e-zulf-e-ambarin kyun hai
nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai
sabza-o-gul kahan se aae hain
abr kya chiz hai hawa kya hai
hum ko un se wafa ki hai ummid
jo nahin jaante wafa kya hai
han bhala kar tera bhala hoga
aur darwesh ki sada kya hai
jaan tum par nisar karta hun
main nahin jaanta du'a kya hai
main ne mana ki kuchh nahin 'ghaalib'
muft hath aae to bura kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.