dil hī to hai na sañg-o-ḳhisht dard se bhar na aae kyuñ
dil hī to hai na sañg-o-ḳhisht dard se bhar na aa.e kyuuñ
ro.eñge ham hazār baar koī hameñ satā.e kyuuñ
dair nahīñ haram nahīñ dar nahīñ āstāñ nahīñ
baiThe haiñ rahguzar pe ham ġhair hameñ uThā.e kyuuñ
jab vo jamāl-e-dil-faroz sūrat-e-mehr-e-nīm-roz
aap hī ho nazzāra-soz parde meñ muñh chhupā.e kyuuñ
dashna-e-ġhamza jāñ-sitāñ nāvak-e-nāz be-panāh
terā hī aks-e-ruḳh sahī sāmne tere aa.e kyuuñ
qaid-e-hayāt o band-e-ġham asl meñ donoñ ek haiñ
maut se pahle aadmī ġham se najāt paa.e kyuuñ
husn aur us pe husn-e-zan rah ga.ī bul-havas kī sharm
apne pe e'timād hai ġhair ko āzmā.e kyuuñ
vaañ vo ġhurūr-e-izz-o-nāz yaañ ye hijāb-e-pās-e-vaza.a
raah meñ ham mileñ kahāñ bazm meñ vo bulā.e kyuuñ
haañ vo nahīñ ḳhudā-parast jaao vo bevafā sahī
jis ko ho diin o dil aziiz us kī galī meñ jaa.e kyuuñ
'ġhālib'-e-ḳhasta ke baġhair kaun se kaam band haiñ
roiye zaar zaar kyā kījiye haa.e haa.e kyuuñ
dil hī to hai na sañg-o-ḳhisht dard se bhar na aae kyuñ
roeñge hum hazār bar koī hameñ satāe kyuñ
dair nahīñ haram nahīñ dar nahīñ āstāñ nahīñ
baiThe haiñ rahguzar pe hum ġhair hameñ uThāe kyuñ
jab wo jamāl-e-dil-faroz sūrat-e-mehr-e-nīm-roz
aap hī ho nazzāra-soz parde meñ muñh chhupāe kyuñ
dashna-e-ġhamza jāñ-sitāñ nāwak-e-nāz be-panāh
terā hī aks-e-ruḳh sahī sāmne tere aae kyuñ
qaid-e-hayāt o band-e-ġham asl meñ donoñ ek haiñ
maut se pahle aadmī ġham se najāt pae kyuñ
husn aur us pe husn-e-zan rah gaī bul-hawas kī sharm
apne pe e'timād hai ġhair ko āzmāe kyuñ
wañ wo ġhurūr-e-izz-o-nāz yañ ye hijāb-e-pās-e-waza
rah meñ hum mileñ kahāñ bazm meñ wo bulāe kyuñ
hañ wo nahīñ ḳhudā-parast jao wo bewafā sahī
jis ko ho din o dil aziz us kī galī meñ jae kyuñ
'ġhālib'-e-ḳhasta ke baġhair kaun se kaam band haiñ
roiye zar zar kyā kījiye hae hae kyuñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.