dil jis se zinda hai wo tamanna tumhin to ho
dil jis se zinda hai vo tamannā tumhīñ to ho
ham jis meñ bas rahe haiñ vo duniyā tumhīñ to ho
phūTā jo sīna-e-shab tār-e-alast se
us nūr-e-avvalīñ kā ujālā tumhīñ to ho
sab kuchh tumhāre vāste paidā kiyā gayā
sab ġhāytoñ kī ġhāyat-e-ūlā tumhīñ to ho
us mahfil-e-shuhūd kī raunaq tumhīñ se hai
us mahmil-e-namūd kī lailā tumhīñ to ho
jalte haiñ jibra.īl ke par jis maqām par
us kī haqīqatoñ ke shanāsā tumhīñ to ho
jo mā-sivā kī had se bhī aage guzar gayā
ai rah navard-e-jāda-e-asrā tumhīñ to ho
piite hī jis ke zindagī-e-jāvedāñ milī
is jāñ-fizā zulāl ke miinā tumhīñ to ho
uTh-uTh ke le rahā hai jo pahlū meñ chuTkiyāñ
vo dard dil meñ kar ga.e paidā tumhīñ to ho
duniyā meñ rahmat-e-do-jahāñ aur kaun hai
jis kī nahīñ nazīr vo tanhā tumhīñ to ho
girte huoñ ko thaam liyā jis ke haath ne
ai tāj-dār-e-yasrib-o-bathā tumhīñ to ho
biptā sunā.eñ jaake tumhāre sivā kise
ham be-kasān-e-hind ke maljā tumhīñ to ho
dil jis se zinda hai wo tamanna tumhin to ho
hum jis mein bas rahe hain wo duniya tumhin to ho
phuTa jo sina-e-shab tar-e-alast se
us nur-e-awwalin ka ujala tumhin to ho
sab kuchh tumhaare waste paida kiya gaya
sab ghayton ki ghayat-e-ula tumhin to ho
us mahfil-e-shuhud ki raunaq tumhin se hai
us mahmil-e-namud ki laila tumhin to ho
jalte hain jibrail ke par jis maqam par
us ki haqiqaton ke shanasa tumhin to ho
jo ma-siwa ki had se bhi aage guzar gaya
ai rah naward-e-jada-e-asra tumhin to ho
pite hi jis ke zindagi-e-jawedan mili
is jaan-fiza zulal ke mina tumhin to ho
uTh-uTh ke le raha hai jo pahlu mein chuTkiyan
wo dard dil mein kar gae paida tumhin to ho
duniya mein rahmat-e-do-jahan aur kaun hai
jis ki nahin nazir wo tanha tumhin to ho
girte huon ko tham liya jis ke hath ne
ai taj-dar-e-yasrib-o-batha tumhin to ho
bipta sunaen jake tumhaare siwa kise
hum be-kasan-e-hind ke malja tumhin to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.