dil pe zaKHm khate hain jaan se guzarte hain
dil pe zaḳhm khāte haiñ jaan se guzarte haiñ
jurm sirf itnā hai un ko pyaar karte haiñ
vo jo pher kar nazreñ paas se guzarte haiñ
ai ġham-e-zamāna ham tujh ko yaad karte haiñ
vo dayār-e-jānāñ ho yā javār-e-mai-kHāna
gardisheñ Thahartī haiñ ham jahāñ Thahrte haiñ
e'tibār baḌhtā hai aur bhī mohabbat kā
jab vo ajnabī ban kar yaas se guzarte haiñ
dil pe zaKHm khate hain jaan se guzarte hain
jurm sirf itna hai un ko pyar karte hain
wo jo pher kar nazren pas se guzarte hain
ai gham-e-zamana hum tujh ko yaad karte hain
wo dayar-e-jaanan ho ya jawar-e-mai-kHana
gardishen Thahartī hain hum jahan Thahrte hain
e'tibar baDhta hai aur bhi mohabbat ka
jab wo ajnabi ban kar yas se guzarte hain
- Book : Shaakh-e-Gul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.