dil se tirī nigāh jigar tak utar gaī
dil se tirī nigāh jigar tak utar ga.ī
donoñ ko ik adā meñ razā-mand kar ga.ī
shaq ho gayā hai siina ḳhushā lazzat-e-farāġh
taklīf-e-parda-dāri-e-zaḳhm-e-jigar ga.ī
vo bāda-e-shabāna kī sarmastiyāñ kahāñ
uThiye bas ab ki lazzat-e-ḳhvāb-e-sahar ga.ī
uḌtī phire hai ḳhaak mirī kū-e-yār meñ
baare ab ai havā havas-e-bāl-o-par ga.ī
dekho to dil-farebi-e-andāz-e-naqsh-e-pā
mauj-e-ḳhirām-e-yār bhī kyā gul katar ga.ī
har bul-havas ne husn-parastī shi.ār kī
ab ābrū-e-sheva-e-ahl-e-nazar ga.ī
nazzāre ne bhī kaam kiyā vaañ naqāb kā
mastī se har nigah tire ruḳh par bikhar ga.ī
fardā o dī kā tafraqa yak baar miT gayā
kal tum ga.e ki ham pe qayāmat guzar ga.ī
maarā zamāne ne asadullāh ḳhaañ tumheñ
vo valvale kahāñ vo javānī kidhar ga.ī
dil se tirī nigāh jigar tak utar gaī
donoñ ko ek adā meñ razā-mand kar gaī
shaq ho gayā hai sina ḳhushā lazzat-e-farāġh
taklīf-e-parda-dāri-e-zaḳhm-e-jigar gaī
wo bāda-e-shabāna kī sarmastiyāñ kahāñ
uThiye bas ab ki lazzat-e-ḳhwāb-e-sahar gaī
uḌtī phire hai ḳhak mirī kū-e-yār meñ
bare ab ai hawā hawas-e-bāl-o-par gaī
dekho to dil-farebi-e-andāz-e-naqsh-e-pā
mauj-e-ḳhirām-e-yār bhī kyā gul katar gaī
har bul-hawas ne husn-parastī shiār kī
ab ābrū-e-shewa-e-ahl-e-nazar gaī
nazzāre ne bhī kaam kiyā wañ naqāb kā
mastī se har nigah tere ruḳh par bikhar gaī
fardā o dī kā tafraqa yak bar miT gayā
kal tum gae ki hum pe qayāmat guzar gaī
marā zamāne ne asadullāh ḳhañ tumheñ
wo walwale kahāñ wo jawānī kidhar gaī
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.