Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dil soz se ḳhālī hai nigah pak nahīñ hai

Allama Iqbal

dil soz se ḳhālī hai nigah pak nahīñ hai

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    dil soz se ḳhālī hai nigah paak nahīñ hai

    phir is meñ ajab kyā ki bebāk nahīñ hai

    hai zauq-e-tajallī bhī isī ḳhaak meñ pinhāñ

    ġhāfil nirā sāhib-e-idrāk nahīñ hai

    vo aañkh ki hai surma-e-afrañg se raushan

    purkār o suḳhan-sāz hai namnāk nahīñ hai

    kyā suufī o mullā ko ḳhabar mere junūñ

    un sar-e-dāman bhī abhī chaak nahīñ hai

    kab tak rahe mahkūmi-e-anjum meñ mirī ḳhaak

    maiñ nahīñ gardish-e-aflāk nahīñ hai

    bijlī huuñ nazar koh o bayābāñ pe hai merī

    mere liye shāyāñ ḳhas-o-ḳhāshāk nahīñ hai

    aalam hai faqat momin-e-jāñ-bāz mīrās

    momin nahīñ jo sāhib-e-laulāk nahīñ hai

    dil soz se ḳhālī hai nigah pak nahīñ hai

    phir is meñ ajab kyā ki bebāk nahīñ hai

    hai zauq-e-tajallī bhī isī ḳhak meñ pinhāñ

    ġhāfil nirā sāhib-e-idrāk nahīñ hai

    wo aañkh ki hai surma-e-afrañg se raushan

    purkār o suḳhan-sāz hai namnāk nahīñ hai

    kyā sufī o mullā ko ḳhabar mere junūñ

    un sar-e-dāman bhī abhī chaak nahīñ hai

    kab tak rahe mahkūmi-e-anjum meñ mirī ḳhak

    maiñ nahīñ gardish-e-aflāk nahīñ hai

    bijlī huñ nazar koh o bayābāñ pe hai merī

    mere liye shāyāñ ḳhas-o-ḳhāshāk nahīñ hai

    aalam hai faqat momin-e-jāñ-bāz mīrās

    momin nahīñ jo sāhib-e-laulāk nahīñ hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now