dost ġham-ḳhwārī meñ merī saī farmāweñge kyā
dost ġham-ḳhvārī meñ merī sa.ī farmāveñge kyā
zaḳhm ke bharte talak nāḳhun na baḌh jāveñge kyā
be-niyāzī had se guzrī banda-parvar kab talak
ham kaheñge hāl-e-dil aur aap farmāveñge kyā
hazrat-e-nāseh gar aaveñ diida o dil farsh-e-rāh
koī mujh ko ye to samjhā do ki samajhāveñge kyā
aaj vaañ teġh o kafan bāñdhe hue jaatā huuñ maiñ
uzr mere qatl karne meñ vo ab lāveñge kyā
gar kiyā nāseh ne ham ko qaid achchhā yuuñ sahī
ye junūn-e-ishq ke andāz chhuT jāveñge kyā
ḳhāna-zād-e-zulf haiñ zanjīr se bhāgeñge kyuuñ
haiñ giraftār-e-vafā zindāñ se ghabarāveñge kyā
hai ab is māmūre meñ qaht-e-ġham-e-ulfat 'asad'
ham ne ye maanā ki dillī meñ raheñ khāveñge kyā
dost ġham-ḳhwārī meñ merī saī farmāweñge kyā
zaḳhm ke bharte talak nāḳhun na baḌh jāweñge kyā
be-niyāzī had se guzrī banda-parwar kab talak
hum kaheñge hāl-e-dil aur aap farmāweñge kyā
hazrat-e-nāseh gar aaweñ dida o dil farsh-e-rāh
koī mujh ko ye to samjhā do ki samajhāweñge kyā
aaj wañ teġh o kafan bāñdhe hue jatā huñ maiñ
uzr mere qatl karne meñ wo ab lāweñge kyā
gar kiyā nāseh ne hum ko qaid achchhā yuñ sahī
ye junūn-e-ishq ke andāz chhuT jāweñge kyā
ḳhāna-zād-e-zulf haiñ zanjīr se bhāgeñge kyuñ
haiñ giraftār-e-wafā zindāñ se ghabarāweñge kyā
hai ab is māmūre meñ qaht-e-ġham-e-ulfat 'asad'
hum ne ye manā ki dillī meñ raheñ khāweñge kyā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.