dost kya kHub wafaon ka sila dete hain
dost kyā kHuub vafāoñ kā sila dete haiñ
har na.e moḌ par ek zaḳhm nayā dete haiñ
tum se to ḳhair ghaḌī-bhar kī mulāqāt rahī
log sadiyoñ kī rafāqat ko bhulā dete haiñ
kaise mumkin hai ki dhuāñ bhī na ho aur dil bhī jale
choT paḌtī hai to patthar bhī sadā dete haiñ
kaun hotā hai musībat meñ kisī kā ai dost
aag lagtī hai to patte bhī havā dete haiñ
jin pe hotā hai bahut dil ko bharosa 'tābish'
vaqt paḌne pe vahī log daġhā dete haiñ
dost kya kHub wafaon ka sila dete hain
har nae moD par ek zaKHm naya dete hain
tum se to KHair ghaDi-bhar ki mulaqat rahi
log sadiyon ki rafaqat ko bhula dete hain
kaise mumkin hai ki dhuan bhi na ho aur dil bhi jale
choT paDti hai to patthar bhi sada dete hain
kaun hota hai musibat mein kisi ka ai dost
aag lagti hai to patte bhi hawa dete hain
jin pe hota hai bahut dil ko bharosa 'tabish'
waqt paDne pe wahi log dagha dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.