Sufinama

ek haqiqat ke do mahmil husn-o-mohabbat donon hain

Zaheen Shah Taji

ek haqiqat ke do mahmil husn-o-mohabbat donon hain

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    ek haqīqat ke do mahmil husn-o-mohabbat donoñ haiñ

    ḳhalvat-ḳhalvat mahfil-mahfil husn-o-mohabbat donoñ haiñ

    sab se tanhā sab meñ shāmil husn-o-mohabbat donoñ haiñ

    kitne āsāñ kitne mushkil husn-o-mohabbat donoñ haiñ

    apne apne ā.īne meñ dekhte haiñ muñh apnā apnā

    apne apne aap muqābil husn-o-mohabbat donoñ haiñ

    gaahe raahī gaahe rahzan gaahe rahrav gaahe rahbar

    gaahe jaada gaahe manzil husn-o-mohabbat donoñ haiñ

    ek haqīqat ke do pahlū har pahlū meñ lākhoñ pahlū

    har jalva har diida har dil husn-o-mohabbat donoñ haiñ

    daana daana ḳhosha ḳhosha mazra.a mazra.a bijlī bijlī

    ḳhirman ḳhirman hāsil hāsil husn-o-mohabbat donoñ haiñ

    aap haiñ dariyā aap haiñ kashtī aap kashtībāñ apne

    gaahe tūfāñ gaahe sāhil husn-o-mohabbat donoñ haiñ

    ishq 'zhīn' īmān hai merā husn hai mujh jaañ se pyārā

    merī fitrat meñ shāmil husn-o-mohabbat donoñ haiñ

    ek haqiqat ke do mahmil husn-o-mohabbat donon hain

    KHalwat-KHalwat mahfil-mahfil husn-o-mohabbat donon hain

    sab se tanha sab mein shamil husn-o-mohabbat donon hain

    kitne aasan kitne mushkil husn-o-mohabbat donon hain

    apne apne aaine mein dekhte hain munh apna apna

    apne apne aap muqabil husn-o-mohabbat donon hain

    gahe rahi gahe rahzan gahe rahraw gahe rahbar

    gahe jada gahe manzil husn-o-mohabbat donon hain

    ek haqiqat ke do pahlu har pahlu mein lakhon pahlu

    har jalwa har dida har dil husn-o-mohabbat donon hain

    dana dana KHosha KHosha mazra mazra bijli bijli

    KHirman KHirman hasil hasil husn-o-mohabbat donon hain

    aap hain dariya aap hain kashti aap hi kashtiban apne

    gahe tufan gahe sahil husn-o-mohabbat donon hain

    ishq 'zhin' iman hai mera husn hai mujh jaan se pyara

    meri fitrat hi mein shamil husn-o-mohabbat donon hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now