sham-e-firaq ab na puchh aai aur aa ke Tal gai
shām-e-firāq ab na pūchh aa.ī aur aa ke Tal ga.ī
dil thā ki phir bahal gayā jaañ thī ki phir sambhal ga.ī
bazm-e-ḳhayāl meñ tire husn kī sham' jal ga.ī
dard kā chāñd bujh gayā hijr kī raat Dhal ga.ī
jab tujhe yaad kar liyā sub.h mahak-mahak uThī
jab tirā ġham jagā liyā raat machal-machal ga.ī
dil se to har mu'āmala kar ke chale the saaf ham
kahne meñ un ke sāmne baat badal-badal ga.ī
āḳhir-e-shab ke ham-safar 'faiz' na jaane kyā hue
rah ga.ī kis jagah sabā sub.h kidhar nikal ga.ī
sham-e-firaq ab na puchh aai aur aa ke Tal gai
dil tha ki phir bahal gaya jaan thi ki phir sambhal gai
bazm-e-KHayal mein tere husn ki sham' jal gai
dard ka chand bujh gaya hijr ki raat Dhal gai
jab tujhe yaad kar liya subh mahak-mahak uThi
jab tera gham jaga liya raat machal-machal gai
dil se to har mu'amala kar ke chale the saf hum
kahne mein un ke samne baat badal-badal gai
aaKHir-e-shab ke ham-safar 'faiz' na jaane kya hue
rah gai kis jagah saba subh kidhar nikal gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.