jo nazar aar-par ho jae
jo nazar ār-pār ho jaa.e
vahī dil kā qarār ho jaa.e
apnī zulfoñ kā Daal do saaya
tīrgī ḳhush-gavār ho jaa.e
terī nazroñ ko dekh paa.e agar
shaiḳh bhī mai-gusār ho jaa.e
maut kis tarah aa.e bālīñ par
tū agar ek baar ho jaa.e
ā.īna apne sāmne se haTā
ye na ho ḳhud se pyaar ho jaa.e
tujh ko dekhe jo ik nazar fauran
chāñd bhī sharmsār ho jaa.e
jo nazar aar-par ho jae
wahi dil ka qarar ho jae
apni zulfon ka Dal do saya
tirgi KHush-gawar ho jae
teri nazron ko dekh pae agar
shaiKH bhi mai-gusar ho jae
maut kis tarah aae baalin par
tu agar ek bar ho jae
aaina apne samne se haTa
ye na ho KHud se pyar ho jae
tujh ko dekhe jo ek nazar fauran
chand bhi sharmsar ho jae
- Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.