tu agar be-naqab ho jae
tū agar be-naqāb ho jaa.e
zindagānī sharāb ho jaa.e
tū pilā.e jo mast nazroñ se
mai-kashī lā-javāb ho jaa.e
dekh le shaiḳh gar tirī āñkheñ
pārsā.ī ḳharāb ho jaa.e
tum agar mere sāth-sāth chalo
zindagī kāmyāb ho jaa.e
jaam do tum jo apne hāthoñ se
ham ko piinā savāb ho jaa.e
ruuTh jaa.eñ agar vo ham se 'fanā'
marnā jiinā 'azāb ho jaa.e
tu agar be-naqab ho jae
zindagani sharab ho jae
tu pilae jo mast nazron se
mai-kashi la-jawab ho jae
dekh le shaiKH gar teri aankhen
parsai KHarab ho jae
tum agar mere sath-sath chalo
zindagi kaamyab ho jae
jam do tum jo apne hathon se
hum ko pina sawab ho jae
ruTh jaen agar wo hum se 'fana'
marna jina 'azab ho jae
- Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.