Font by Mehr Nastaliq Web

ishq-e-sanam namaz hai hai yahi bandagi meri

Fana Bulandshahri

ishq-e-sanam namaz hai hai yahi bandagi meri

Fana Bulandshahri

'ishq-e-sanam namāz hai hai yahī bandagī mirī

dil hai mirā sanam-kada diin mirā hai kāfirī

sar-ba-sujūd huuñ sanam but-kada-majāz meñ

de ga.ī but-parastiyāñ terī adā-e-dilbarī

zāhid-e-ḳhushk se judā maz.hab-e-'ishq hai mirā

jhuknā dar-e-habīb par mere liye hai behtarī

mere sar-e-niyāz ko dair-o-haram kareñ salām

mujh ko tire ḳhayāl ne baḳhshī hai vo qalandarī

sadqe karūñ maiñ jān-o-dil-e-yār ke pā-e-nāz par

hai yahī asvad-e-haram hai yahī tāj-e-khusravī

terī nigāh-e-nāz hai merī talab aabrū

tujh pe nisār ai sanam husn-e-butān-e-āzarī

uTh ke tire dayār se jaa.e tirā 'fanā' kahāñ

kā’ba-e-chashm-e-’ishq hai terā jamāl-e-rukH-parī

'ishq-e-sanam namaz hai hai yahi bandagi meri

dil hai mera sanam-kada din mera hai kafiri

sar-ba-sujud hun sanam but-kada-majaz mein

de gai but-parastiyan teri ada-e-dilbari

zahid-e-KHushk se juda mazhab-e-'ishq hai mera

jhukna dar-e-habib par mere liye hai behtari

mere sar-e-niyaz ko dair-o-haram karen salam

mujh ko tere KHayal ne baKHshi hai wo qalandari

sadqe karun main jaan-o-dil-e-yar ke pa-e-naz par

hai yahi aswad-e-haram hai yahi taj-e-khusrawi

teri nigah-e-naz hai meri talab ki aabru

tujh pe nisar ai sanam husn-e-butan-e-azari

uTh ke tere dayar se jae tera 'fana' kahan

ka’ba-e-chashm-e-’ishq hai tera jamal-e-rukH-pari

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now