Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tera nigah-e-shauq koi raaz-dan na tha

Fani Badayuni

tera nigah-e-shauq koi raaz-dan na tha

Fani Badayuni

terā nigāh-e-shauq koī rāz-dāñ na thā

āñkhoñ ko varna jalva-e-jānāñ kahāñ na thā

’ālam-e-juz ’etibār-e-nihāñ-o-ayāñ na thā

ya.anī ki to ayaañ na huā aur nihāñ na thā

ab tak tirī galī meñ ye rusvā.iyāñ na thiiñ

ab tak to is zamīñ pe koī āsmāñ na thā

kyā din the jab ma.āl-e-vafā ḳhabar na thī

vo din bhī the ki hāl-e-vafā dāstāñ na thā

mafhūm-e-kā.enāt tumhār sivā nahīñ

tum chhup ga.e nazar se to saarā jahāñ na thā

har shāḳh har shajar se na thā bijliyoñ ko laag

har shāḳh har shajar pe mirā āshiyāñ na thā

āġhosh-e-maut meñ tah-e-dāmān-e-yār hoñ

vo din ga.e ke mujh pe koī mehrbāñ na thā

āzurda thā ki zabt-e-fuġhāñ meñ asar nahīñ

sharminda huuñ ki zabt-e-fuġhāñ rā.egāñ na thā

ho bhī chuke the dām-e-mohabbat meñ ham asiir

'ālam abhī ba-qaid-e-zamān-o-makāñ na thā

allāh re be-niyāzi-e-ādāb-e-iltifāt

dekhā mujhe to paa.e nazar darmiyāñ na thā

mere dil-e-ġhuyūr husn-e-talab to dekh

goyā zabāñ pe harf-e-tamannā garāñ na thā

ne karam kiyā to ba-’unvān-e-rañj-e-zīst

ġham bhī mujhe diyā to ġham jāvedāñ na thā

'fānī' fusūn-e-maut tāsīr dekhnā

Thahrā vo dil ki jis pe sukūñ gumāñ na thā

tera nigah-e-shauq koi raaz-dan na tha

aankhon ko warna jalwa-e-jaanan kahan na tha

’alam-e-juz ’etibar-e-nihan-o-ayan na tha

yani ki to ayan na hua aur nihan na tha

ab tak teri gali mein ye ruswaiyan na thin

ab tak to is zamin pe koi aasman na tha

kya din the jab maal-e-wafa ki KHabar na thi

wo din bhi the ki haal-e-wafa dastan na tha

mafhum-e-kaenat tumhaar siwa nahin

tum chhup gae nazar se to sara jahan na tha

har shaKH har shajar se na tha bijliyon ko lag

har shaKH har shajar pe mera aashiyan na tha

aaghosh-e-maut mein tah-e-daman-e-yar hon

wo din gae ke mujh pe koi mehrban na tha

aazurda tha ki zabt-e-fughan mein asar nahin

sharminda hun ki zabt-e-fughan raegan na tha

ho bhi chuke the dam-e-mohabbat mein hum asir

'alam abhi ba-qaid-e-zaman-o-makan na tha

allah re be-niyazi-e-adab-e-iltifat

dekha mujhe to pae nazar darmiyan na tha

mere dil-e-ghuyur ka husn-e-talab to dekh

goya zaban pe harf-e-tamanna garan na tha

tu ne karam kiya to ba-’unwan-e-ranj-e-zist

gham bhi mujhe diya to gham jawedan na tha

'fani' fusun-e-maut ki tasir dekhna

Thahra wo dil ki jis pe sukun ka guman na tha

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now