maal-e-soz-e-gham-ha-e-nihani dekhte jao
ma.āl-e-soz-e-ġham-hā-e-nihānī dekhte jaao
bhaḌak uThī hai sham'-e-zindagānī dekhte jaao
chale bhī aao vo hai qabr-e-'fānī' dekhte jaao
tum apne marne vaale kī nishānī dekhte jaao
abhī kyā hai kisī din ḳhuuñ rulā.egī ye ḳhāmoshī
zabān-e-hāl kī jādū-bayānī dekhte jaao
ġhurūr-e-husn kā sadqa koī jaatā hai duniyā se
kisī kī ḳhaak meñ miltī javānī dekhte jaao
udhar muñh pher kar kyā zab.h karte ho idhar dekho
mirī gardan pe ḳhanjar kī ravānī dekhte jaao
bahār-e-zindagānī kā lutf dekhā aur dekhoge
kisī kā 'aish marg-e-nā-gahānī dekhte jaao
sune jaate na the tum se mire din-rāt ke shikve
kafan sarkāo merī be-zabānī dekhte jaao
vo uThā shor-e-mātam āḳhirī dīdār-e-mayyat par
ab uThā chāhtī hai na.ash-e-'fānī' dekhte jaao
maal-e-soz-e-gham-ha-e-nihani dekhte jao
bhaDak uThi hai sham'-e-zindagani dekhte jao
chale bhi aao wo hai qabr-e-'fani' dekhte jao
tum apne marne wale ki nishani dekhte jao
abhi kya hai kisi din KHun rulaegi ye KHamoshi
zaban-e-haal ki jadu-bayani dekhte jao
ghurur-e-husn ka sadqa koi jata hai duniya se
kisi ki KHak mein milti jawani dekhte jao
udhar munh pher kar kya zabh karte ho idhar dekho
meri gardan pe KHanjar ki rawani dekhte jao
bahaar-e-zindagani ka lutf dekha aur dekhoge
kisi ka 'aish marg-e-na-gahani dekhte jao
sune jate na the tum se mere din-raat ke shikwe
kafan sarkao meri be-zabani dekhte jao
wo uTha shor-e-matam aaKHiri didar-e-mayyat par
ab uTha chahti hai nash-e-'fani' dekhte jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.