na sawal hai taKHt-o-taj ka na qasam se zar ka KHayal hai
na savāl hai taḳht-o-tāj kā na qasam se zar kā ḳhayāl hai
mere chāra-gar mere mehrbāñ tire ek kā savāl hai
hai jahāñ meñ yuuñ to bahut hasīñ koī tujh sā par mirī jaañ nahīñ
tū jamīl bhī hai hasīn bhī tū qasīm bhī be-misāl hai
tirā ishq hai mirī zindagī tirā zikr hai mirī bandagī
tujhe bhuul paanā ḳhudā qasam mirā jiite jī to muhāl hai
mirā kaun hai juz tire sanam jo sune mirā qissa-e-alam
mirā bas tū hī to hai mehrbāñ tire rū-ba-rū mirā haal hai
tirā dar hai ka.aba merā sanam tū ḳhudā hai merā ḳhudā qasam
tire dar se jānāñ jabīñ mirī uThe jiite jī kyā jamāl hai
mirī jaañ tirā mubtalā huuñ maiñ tire husn par mar miTā huuñ maiñ
mirī jaañ mirī rakh le aabrū mirī zindagī kā savāl hai
na sawal hai taKHt-o-taj ka na qasam se zar ka KHayal hai
mere chaara-gar mere mehrban tere ek ka sawal hai
hai jahan mein yun to bahut hasin koi tujh sa par meri jaan nahin
tu jamil bhi hai hasin bhi tu qasim bhi be-misal hai
tera ishq hai meri zindagi tera zikr hai meri bandagi
tujhe bhul pana KHuda qasam mera jite ji to muhaal hai
mera kaun hai juz tere sanam jo sune mera qissa-e-alam
mera bas tu hi to hai mehrban tere ru-ba-ru mera haal hai
tera dar hai kaba mera sanam tu KHuda hai mera KHuda qasam
tere dar se jaanan jabin meri uThe jite ji kya jamal hai
meri jaan tera mubtala hun main tere husn par mar miTa hun main
meri jaan meri rakh le aabru meri zindagi ka sawal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.