fariyād kī koī lai nahīñ hai
fariyād kī koī lai nahīñ hai
naala pāband-e-nai nahīñ hai
kyuuñ bote haiñ bāġhbāñ toñbe
gar baaġh gadā-e-mai nahīñ hai
har-chand har ek shai meñ tū hai
par tujh sī koī shai nahīñ hai
haañ khā.iyo mat fareb-e-hastī
har-chand kaheñ ki hai nahīñ hai
shādī se guzar ki ġham na hove
urdī jo na ho to dai nahīñ hai
kyuuñ radd-e-qadah kare hai zāhid
mai hai ye magas kī qai nahīñ hai
hastī hai na kuchh adam hai 'ġhālib'
āḳhir tū kyā hai ai nahīñ hai
fariyād kī koī lai nahīñ hai
nala pāband-e-nai nahīñ hai
kyuñ bote haiñ bāġhbāñ toñbe
gar baġh gadā-e-mai nahīñ hai
har-chand har ek shai meñ tū hai
par tujh sī koī shai nahīñ hai
hañ khāiyo mat fareb-e-hastī
har-chand kaheñ ki hai nahīñ hai
shādī se guzar ki ġham na howe
urdī jo na ho to dai nahīñ hai
kyuñ radd-e-qadah kare hai zāhid
mai hai ye magas kī qai nahīñ hai
hastī hai na kuchh adam hai 'ġhālib'
āḳhir tū kyā hai ai nahīñ hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.