hai ghar wo kaun sa jalwa nahin jahan tera
hai ghar vo kaun sā jalva nahīñ jahāñ terā
zabāñ hai kaun sī jis par nahīñ bayāñ terā
nahīñ hai naam jahāñ terā bastī suunī hai
vo be-nishāñ hai jis jā nahīñ nishāñ terā
jahāñ pe gardan-e-taslīm ḳham hai har ik kī
mulk meñ jis kī salāmī vo āstāñ terā
maqām ho tirā ḳhalvat-pasand vo tū hai
makān-e-bar-sar-e-aflāk-e-lā-makāñ terā
hazāroñ pardoñ se aatā hai nuur chhan-chhan kar
jo do jahāñ meñ hai us shaan se 'ayāñ terā
har ik hayāt ke pīchhe lagī huī hai fanā
yahī hai naam rahegā jo jāvedāñ terā
hazār naam fidā haiñ vo tere rusvā.ī
vo suud hī nahīñ jis meñ nahīñ zabāñ terā
hai ghar wo kaun sa jalwa nahin jahan tera
zaban hai kaun si jis par nahin bayan tera
nahin hai nam jahan tera basti suni hai
wo be-nishan hai jis ja nahin nishan tera
jahan pe gardan-e-taslim KHam hai har ek ki
mulk mein jis ki salami wo aastan tera
maqam ho tera KHalwat-pasand wo tu hai
makan-e-bar-sar-e-aflak-e-la-makan tera
hazaron pardon se aata hai nur chhan-chhan kar
jo do jahan mein hai us shan se 'ayan tera
har ek hayat ke pichhe lagi hui hai fana
yahi hai nam rahega jo jawedan tera
hazar nam fida hain wo tere ruswai
wo sud hi nahin jis mein nahin zaban tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.