dil wo jal jae na ho jis mein mohabbat teri
dil vo jal jaa.e na ho jis meñ mohabbat terī
vo zabāñ guñg ho jis par na ho mid.hat terī
ham gunahgāroñ pe kyā-kyā hai 'ināyat terī
rāt-din aaTh pahar ham pe hai rahmat terī
na.ī hālat nayā andāz nirālā hai chalan
dekhā jis jā nazar aa.ī na.ī qudrat terī
terā har naam hai halāl har ik mushkil kā
'ain īmān hai momin ko mohabbat terī
hamd aur qatra-e-nāchīz kā likhnā dekho
ai 'fidā' ham ko hai mā'lūm haqīqat terī
dil wo jal jae na ho jis mein mohabbat teri
wo zaban gung ho jis par na ho midhat teri
hum gunahgaron pe kya-kya hai 'inayat teri
raat-din aaTh pahar hum pe hai rahmat teri
nai haalat naya andaz nirala hai chalan
dekha jis ja nazar aai nai qudrat teri
tera har nam hai halal har ek mushkil ka
'ain iman hai momin ko mohabbat teri
hamd aur qatra-e-nachiz ka likhna dekho
ai 'fida' hum ko hai ma'lum haqiqat teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.