kisi ke ishq mein bekal hun itna tilmilata hun
kisī ke ishq meñ bekal huuñ itnā tilmilātā huuñ
kisī pahlū nahīñ ārām har dam jaañ khapātā huuñ
kabhī hairāñ huuñ muztar huuñ kabhī sakta huuñ shashdar huuñ
marīz ishq huuñ har dam na.e sadme uThātā huuñ
satā lo aaj jitnā jī meñ aa.e aap ke sāhib
ḳhudā ke sāmne kal dekhnā faryād jaatā huuñ
firāq-e-yār meñ ro ro ke kar letā huuñ dil ThanDā
maiñ apne āñso.oñ se ātish-e-furqat bujhātā huuñ
nahīñ āsār apnī zindagī ke ab nazar aate
ġhizā ke badle maiñ 'ġhausī' ġham-e-dildār khātā huuñ
kisi ke ishq mein bekal hun itna tilmilata hun
kisi pahlu nahin aaram har dam jaan khapata hun
kabhi hairan hun muztar hun kabhi sakta hun shashdar hun
mariz ishq hun har dam nae sadme uThata hun
sata lo aaj jitna ji mein aae aap ke sahib
KHuda ke samne kal dekhna faryaad jata hun
firaq-e-yar mein ro ro ke kar leta hun dil ThanDa
main apne aansoon se aatish-e-furqat bujhata hun
nahin aasar apni zindagi ke ab nazar aate
ghiza ke badle main 'ghausi' gham-e-dildar khata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.