teri zat ki nahin ibtida teri hasti ki nahin intiha
tirī zaat kī nahīñ ibtidā tirī hastī kī nahīñ intihā
tire bhed kā hai yahī patā to judā nahīñ meñ judā nahīñ
jo fanā huā tirī zaat meñ to na paayā ġhair ke daḳhl ko
vahīñ be-ḳhud hī meñ ye kah uThā to judā nahīñ maiñ judā nahīñ
tirā nuur saare jahāñ meñ hai tirā jalva kaun-o-makāñ meñ hai
tū hī shakl-e-'ġhausī' meñ hai chhupā tū judā nahīñ maiñ judā nahīñ
teri zat ki nahin ibtida teri hasti ki nahin intiha
tere bhed ka hai yahi pata to juda nahin mein juda nahin
jo fana hua teri zat mein to na paya ghair ke daKHl ko
wahin be-KHud hi mein ye kah uTha to juda nahin main juda nahin
tera nur sare jahan mein hai tera jalwa kaun-o-makan mein hai
tu hi shakl-e-'ghausi' mein hai chhupa tu juda nahin main juda nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.