majbur hun lachaar hun ai jaan-e-tamanna

majbur hun lachaar hun ai jaan-e-tamanna
Ghulam Moinuddin Gilani
MORE BYGhulam Moinuddin Gilani
majbūr huuñ lāchār huuñ ai jān-e-tamannā
maiñ jiine se bezār huuñ ai jān-e-tamannā
muddat huī maiñ ne jo tujhe dekhā nahīñ hai
maiñ tishna-e-dīdār huuñ ai jān-e-tamannā
āñkhoñ meñ biThā.ūñ ki kaleje se lagā.ūñ
maiñ terā parastār huuñ ai jān-e-tamannā
mujh mujrim-e-ulfat ko jo chāho vo sazā do
maiñ hāzir-e-darbār huuñ ai jān-e-tamannā
duniyā meñ hasīñ ek se hai ek hasīñ-tar
maiñ terā talab-gār huuñ ai jān-e-tamannā
nādār huuñ muflis huuñ magar jaan bhī de kar
maiñ terā ḳharīdār huuñ ai jān-e-tamannā
'mushtāq' se mat pūchh siyah-chashm kī tāsīr
maiñ mast huuñ sarshār huuñ ai jān-e-tamannā
majbur hun lachaar hun ai jaan-e-tamanna
main jine se bezar hun ai jaan-e-tamanna
muddat hui main ne jo tujhe dekha nahin hai
main tishna-e-didar hun ai jaan-e-tamanna
aankhon mein biThaun ki kaleje se lagaun
main tera parastar hun ai jaan-e-tamanna
mujh mujrim-e-ulfat ko jo chaho wo saza do
main hazir-e-darbar hun ai jaan-e-tamanna
duniya mein hasin ek se hai ek hasin-tar
main tera talab-gar hun ai jaan-e-tamanna
nadar hun muflis hun magar jaan bhi de kar
main tera KHaridar hun ai jaan-e-tamanna
'mushtaq' se mat puchh siyah-chashm ki tasir
main mast hun sarshaar hun ai jaan-e-tamanna
- Book : Asrar-ul-Mushtaque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.