jis ke phande mein phansa hai dil hamara aaj-kal

jis ke phande mein phansa hai dil hamara aaj-kal
Ghulam Moinuddin Gilani
MORE BYGhulam Moinuddin Gilani
jis ke phañde meñ phañsā hai dil hamārā āj-kal
vo nazar aatā nahīñ sayyād pyārā āj-kal
kyā batā.ūñ us dil-e-betāb kī be-tābiyāñ
kar liyā hai us sitamgar ne kināra āj-kal
is adā se us ne dikhlā.ī mujhe apnī jhalak
ho gayā jaan se bhī vo pyārā āj-kal
ā.īna us but kī sūrat kā banā kar sāmne
kar rahā huuñ qudrat-e-haq kā nazāra āj-kal
ab sañvāro yā bigāḌo baat itnī jaan lo
hai tumhāre haath meñ bechāre kā chāra āj-kal
allāh-allāh us dil-e-majbūr kī majbūriyāñ
kar rahā hai jo na karnā thā gavāra āj-kal
dasht-e-ġhurbat meñ akelā chhoḌ kar vo chal diye
phir rahā huuñ mārā-mārā be-sahārā āj-kal
ye nahīñ mā'lūm tū merā huā hai yā nahīñ
jān-o-dil se ho chukā huuñ maiñ tumhārā āj-kal
ab to apnā lījiye hazrat dil-e-'mushtāq' ko
khā rahā hai Thokareñ qismat kā maarā āj-kal
jis ke phande mein phansa hai dil hamara aaj-kal
wo nazar aata nahin sayyaad pyara aaj-kal
kya bataun us dil-e-betab ki be-tabiyan
kar liya hai us sitamgar ne kinara aaj-kal
is ada se us ne dikhlai mujhe apni jhalak
ho gaya jaan se bhi wo pyara aaj-kal
aaina us but ki surat ka bana kar samne
kar raha hun qudrat-e-haq ka nazara aaj-kal
ab sanwaro ya bigaDo baat itni jaan lo
hai tumhaare hath mein bechaare ka chaara aaj-kal
allah-allah us dil-e-majbur ki majburiyan
kar raha hai jo na karna tha gawara aaj-kal
dasht-e-ghurbat mein akela chhoD kar wo chal diye
phir raha hun mara-mara be-sahaara aaj-kal
ye nahin ma'lum tu mera hua hai ya nahin
jaan-o-dil se ho chuka hun main tumhaara aaj-kal
ab to apna lijiye hazrat dil-e-'mushtaq' ko
kha raha hai Thokaren qismat ka mara aaj-kal
- Book : Asrar-ul-Mushtaque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.