Font by Mehr Nastaliq Web

ye kahan thi meri qismat ki visal-e-yar hota

Ghulam Moinuddin Gilani

ye kahan thi meri qismat ki visal-e-yar hota

Ghulam Moinuddin Gilani

ye kahāñ thī merī qismat ki visāl-e-yār hotā

merī tarah kaash unheñ bhī merā intizār hotā

ye hai mere dil hasrat ye hai mere dil armāñ

zarā mujh se hotī ulfat zarā mujh se pyaar hotā

usī intizār meñ huuñ kisī din vo din bhī hogā

tujhe aarzū ye hogī ki maiñ ham-kanār hotā

terā dil kahīñ na lagtā tujhe chain kyūñkar aatā

udās-udās rahtā jo be-qarār hotā

terī baat maan letā kabhī tujh se kuchh na kahtā

mere be-qarār dil ko jo zarā qarār hotā

yahī merī be-kalī phir merī be-kalī na hotī

jo dil-navāz hotā jo ġham-gusār hotā

kabhī apnī aañkh se vo mirā haal dekh lete

mujhe hai yaqīn un yahī hāl-e-zār hotā

kabhī un se lipaTtā kabhī un ke pāvauñ paḌtā

sar-e-rahguzar pe un jo mirā ġhubār hotā

tirī mehrbāniyoñ se mire kaam ban rahe haiñ

jo mehrbāñ na hotā maiñ zalīl-o-ḳhvār hotā

ye hai aap navāzish ki idhar hai aap ruḳh

na thī mujh meñ koī ḳhūbī jo umīd-vār hotā

tirī rahmatoñ vus'at sar-e-hashr dekhte

ye pukār uThā hai zāhid maiñ gunāh-gār hotā

ba-ḳhudā kis auj par phir ye adā namāz hotī

tire paa.e naaz par jab sar-e-ḳhāksār hotā

jo 'muīn' merā un se kisī din milāp hotā

kabhī jaan sadqe hotī kabhī dil nisār hotā

ye kahan thi meri qismat ki visal-e-yar hota

meri tarah kash unhen bhi mera intizar hota

ye hai mere dil ki hasrat ye hai mere dil ka arman

zara mujh se hoti ulfat zara mujh se pyar hota

usi intizar mein hun kisi din wo din bhi hoga

tujhe aarzu ye hogi ki main ham-kanar hota

tera dil kahin na lagta tujhe chain kyunkar aata

tu udas-udas rahta jo tu be-qarar hota

teri baat man leta kabhi tujh se kuchh na kahta

mere be-qarar dil ko jo zara qarar hota

yahi meri be-kali phir meri be-kali na hoti

jo tu dil-nawaz hota jo tu gham-gusar hota

kabhi apni aankh se wo mera haal dekh lete

mujhe hai yaqin un ka yahi haal-e-zar hota

kabhi un se ja lipaTta kabhi un ke pawaun paDta

sar-e-rahguzar pe un ki jo mera ghubar hota

teri mehrbaniyon se mere kaam ban rahe hain

jo tu mehrban na hota main zalil-o-KHwar hota

ye hai aap ki nawazish ki idhar hai aap ka ruKH

na thi mujh mein koi KHubi jo umid-war hota

teri rahmaton ki wus'at sar-e-hashr dekhte hi

ye pukar uTha hai zahid main gunah-gar hota

ba-KHuda kis auj par phir ye ada namaz hoti

tere pae naz par jab sar-e-KHaksar hota

jo 'muin' mera un se kisi din milap hota

kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisar hota

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Haji Mehboob Ali

Haji Mehboob Ali

Source :
  • Book : Asrar-ul-Mushtaq

This content features in following collection(s)

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now