nishan-e-be-nishani chahta hun
nishān-e-be-nishānī chāhtā huuñ
makān-e-lā-makānī chāhtā huuñ
miTā kar hastī-e-mauhūm apnī
ma.āl-e-zindagānī chāhtā huuñ
haqīqat rabbe-arenī kī samajh kar
sadā-e-lan-tarānī chāhtā huuñ
ḳhayāl-e-mā-sivā dil se miTā kar
'urūj-e-zindagānī chāhtā huuñ
ba-roz-e-hashr rakh lenā mirī laaj
bas itnī mehrbānī chāhtā huuñ
shah-e-baġhdād kī chaukhaT pe jā kar
maiñ qismat āzmānī chāhtā huuñ
gunah dhul jā.eñge 'mushtāq' saare
faqat rahmat kā paanī chāhtā huuñ
nishan-e-be-nishani chahta hun
makan-e-la-makani chahta hun
miTa kar hasti-e-mauhum apni
maal-e-zindagani chahta hun
haqiqat rabbe-areni ki samajh kar
sada-e-lan-tarani chahta hun
KHayal-e-ma-siwa dil se miTa kar
'uruj-e-zindagani chahta hun
ba-roz-e-hashr rakh lena meri laj
bas itni mehrbani chahta hun
shah-e-baghdad ki chaukhaT pe ja kar
main qismat aazmani chahta hun
gunah dhul jaenge 'mushtaq' sare
faqat rahmat ka pani chahta hun
- Book : Asrar-ul-Mushtaq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.