dil-e-be-mudda’a hai main nahin hun
dil-e-be-mudda’ā hai maiñ nahīñ huuñ
koī dam kī havā hai maiñ nahīñ huuñ
gulistāñ hai ghaTā hai maiñ nahīñ huuñ
nasīm-e-jāñ-fizā hai maiñ nahīñ huuñ
vo ḳhud-bīñ ḳhud-numā hai maiñ nahīñ huuñ
muqābil ā.īna hai maiñ nahīñ huuñ
haqīqat meñ ḳhudā hai maiñ nahīñ huuñ
ye bar-haq hai bajā hai maiñ nahīñ huuñ
zamīn-o-āsmān-o-lā-makāñ meñ
mohammad mustafā hai maiñ nahīñ huuñ
agar kuchh bhī nahīñ merī haqīqat
to ye kis kī sadā hai maiñ nahīñ huuñ
uThe haiñ jab zarā ġhaflat ke parde
to ye 'uqda khulā hai maiñ nahīñ huuñ
na samjhūñ kuchh to sab kuchh maiñ hī maiñ huuñ
agar samjhūñ ḳhudā hai maiñ nahīñ huuñ
jahāñ Daalī nazar niklā tū hī tū
pata is se chalā hai maiñ nahīñ huuñ
vo merā raaz hai maiñ raaz us kā
samajh lo baat kyā hai maiñ nahīñ huuñ
kabhī sājid kabhī masjūd huuñ maiñ
phir us par ye mazā hai maiñ nahīñ huuñ
ba-juz vahm-o-gumān kuchh bhī nahīñ aur
haqīqat merī kyā hai maiñ nahīñ huuñ
samā.e haiñ nigāhoñ meñ vo jalve
to kahnā hī paḌā hai maiñ nahīñ huuñ
burā honā bhalā honā merā kyā
ḳhudā ḳhud jāntā hai maiñ nahīñ huuñ
banā kar ḳhud hī ik miTTī ko mūrat
vo ḳhud hī aa basā hai maiñ nahīñ huuñ
vahī naqsha vahī shoḳhī vahī chaal
sarāpā dilrubā hai maiñ nahīñ huuñ
chaman chhūTā to kaisī qaid-e-hastī
qafas ḳhālī paḌā hai maiñ nahīñ huuñ
tirā band-e-qabā chhūne ke qābil
faqat bād-e-sabā hai maiñ nahīñ huuñ
koī maane na maane us kī marzī
ye merā faisla hai maiñ nahīñ huuñ
zarā dekho zarā socho karo ġhaur
ḳhudā hai bas ḳhudā hai maiñ nahīñ huuñ
karūñ kyuuñ kar na maiñ sajdoñ pe sajde
usī kā naqsh-e-pā hai maiñ nahīñ huuñ
zarā socho zarā samjho karo ġhaur
ḳhudā hai bas ḳhudā hai maiñ nahīñ huuñ
samajh lo ġhaur kar lo aur dekho
ḳhudā hai bas ḳhudā hai maiñ nahīñ huuñ
samajh lo ġhaur kar lo aur dekho
vahī zāt-e-ḳhudā hai maiñ nahīñ huuñ
samajh lo ġhaur kar lo aur dekho
faqat zāt-e-ḳhudā hai maiñ nahīñ huuñ
samajh lo ġhaur kar lo aur dekho
tumheñ dhokā huā hai maiñ nahīñ huuñ
maze kī baat hai pyāre zarā sun
tujhe dhokā huā hai maiñ nahīñ huuñ
jo hotā maiñ to hotā fikr-e-parda
bahut achchhā huā hai maiñ nahīñ huuñ
ba-qaid-e-'abadiyat 'mushtāq' maiñ huuñ
ba-itlāqan ḳhudā hai maiñ nahīñ huuñ
dil-e-'mushtāq' merā kyā bharosā
terā hāfiz ḳhudā hai maiñ nahīñ huuñ
dil-e-be-mudda’a hai main nahin hun
koi dam ki hawa hai main nahin hun
gulistan hai ghaTa hai main nahin hun
nasim-e-jaan-fiza hai main nahin hun
wo KHud-bin KHud-numa hai main nahin hun
muqabil aaina hai main nahin hun
haqiqat mein KHuda hai main nahin hun
ye bar-haq hai baja hai main nahin hun
zamin-o-asman-o-la-makan mein
mohammad mustafa hai main nahin hun
agar kuchh bhi nahin meri haqiqat
to ye kis ki sada hai main nahin hun
uThe hain jab zara ghaflat ke parde
to ye 'uqda khula hai main nahin hun
na samjhun kuchh to sab kuchh main hi main hun
agar samjhun KHuda hai main nahin hun
jahan Dali nazar nikla tu hi tu
pata is se chala hai main nahin hun
wo mera raaz hai main raaz us ka
samajh lo baat kya hai main nahin hun
kabhi sajid kabhi masjud hun main
phir us par ye maza hai main nahin hun
ba-juz wahm-o-guman kuchh bhi nahin aur
haqiqat meri kya hai main nahin hun
samae hain nigahon mein wo jalwe
to kahna hi paDa hai main nahin hun
bura hona bhala hona mera kya
KHuda KHud jaanta hai main nahin hun
bana kar KHud hi ek miTTi ko murat
wo KHud hi aa basa hai main nahin hun
wahi naqsha wahi shoKHi wahi chaal
sarapa dilruba hai main nahin hun
chaman chhuTa to kaisi qaid-e-hasti
qafas KHali paDa hai main nahin hun
tera band-e-qaba chhune ke qabil
faqat baad-e-saba hai main nahin hun
koi mane na mane us ki marzi
ye mera faisla hai main nahin hun
zara dekho zara socho karo ghaur
KHuda hai bas KHuda hai main nahin hun
karun kyun kar na main sajdon pe sajde
usi ka naqsh-e-pa hai main nahin hun
zara socho zara samjho karo ghaur
KHuda hai bas KHuda hai main nahin hun
samajh lo ghaur kar lo aur dekho
KHuda hai bas KHuda hai main nahin hun
samajh lo ghaur kar lo aur dekho
wahi zat-e-KHuda hai main nahin hun
samajh lo ghaur kar lo aur dekho
faqat zat-e-KHuda hai main nahin hun
samajh lo ghaur kar lo aur dekho
tumhein dhoka hua hai main nahin hun
maze ki baat hai pyare zara sun
tujhe dhoka hua hai main nahin hun
jo hota main to hota fikr-e-parda
bahut achchha hua hai main nahin hun
ba-qaid-e-'abadiyat 'mushtaq' main hun
ba-itlaqan KHuda hai main nahin hun
dil-e-'mushtaq' mera kya bharosa
tera hafiz KHuda hai main nahin hun
- Book : Asrar-ul-Mushtaque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.