Sufinama

guru darshan bhagwan ka darshan sifat mein zat samai re

Meera'n Bheekh

guru darshan bhagwan ka darshan sifat mein zat samai re

Meera'n Bheekh

MORE BYMeera'n Bheekh

    guru darshan bhagvān darshan sifat meñ zaat samā.ī re

    guru bin gyaan nahīñ bha.ī sādho guru ne baat batā.ī re

    guru īshvar meñ farq na jaano gar īshvar 'ain jaano

    guru sūrat bhagvān sūrat guru pahchān karā.ī re

    har-dam dhyān guru meñ rakhnā sar ko rakhnā charnoñ meñ

    guru kirpā kar amrit qalb hoy safā.ī re

    sab sañtan ye kahnā ho ke guru ke rahnā

    ho ke rahe jo guru soī bhagti us ne paa.ī re

    guru jaap jape har-dam raam jape phir jaap terā

    karatā guru puujā puuje tohe ḳhudā.ī re

    'bhīkhā' bhajan guru ke gā.iye guru raazī rab raazī re

    guru rūThe nahīñ Thaur jagat meñ rūThe sabhī ḳhudā.ī re

    guru darshan bhagwan ka darshan sifat mein zat samai re

    guru bin gyan nahin bhai sadho guru ne baat batai re

    guru ishwar mein farq na jaano gar ishwar ka 'ain hi jaano

    guru surat bhagwan ki surat guru pahchan karai re

    har-dam dhyan guru mein rakhna sar ko rakhna charnon mein

    guru kirpa ka pi kar amrit qalb ki hoy safai re

    sab santan ka ye hi kahna ho ke guru ke hi rahna

    ho ke rahe jo guru ka soi bhagti us ne pai re

    guru ka jap jape ja har-dam ram jape phir jap tera

    karata ja guru ki puja puje tohe KHudai re

    'bhikha' bhajan guru ke gaiye guru raazi rab raazi re

    guru ruThe nahin Thaur jagat mein ruThe sabhi KHudai re

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now