Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hādsa wo jo abhī parda-e-aflāk meñ hai

Allama Iqbal

hādsa wo jo abhī parda-e-aflāk meñ hai

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    hādsa vo jo abhī parda-e-aflāk meñ hai

    aks us mire ā.īna-e-idrāk meñ hai

    na sitāre meñ hai ne gardish-e-aflāk meñ hai

    terī taqdīr mire nāla-e-bebāk meñ hai

    mirī aah meñ koī sharar zinda nahīñ

    zarā nam abhī tere ḳhas-o-ḳhāshāk meñ hai

    kyā ajab merī navā-hā-e-sahar-gāhī se

    zinda ho jaa.e vo ātish jo tirī ḳhaak meñ hai

    toḌ Dālegī yahī ḳhaak tilsim-e-shab-o-roz

    garche uljhī huī taqdīr ke pechāk meñ hai

    hādsa wo jo abhī parda-e-aflāk meñ hai

    aks us mere āīna-e-idrāk meñ hai

    na sitāre meñ hai ne gardish-e-aflāk meñ hai

    terī taqdīr mere nāla-e-bebāk meñ hai

    mirī aah meñ koī sharar zinda nahīñ

    zarā nam abhī tere ḳhas-o-ḳhāshāk meñ hai

    kyā ajab merī nawā-hā-e-sahar-gāhī se

    zinda ho jae wo ātish jo tirī ḳhak meñ hai

    toḌ Dālegī yahī ḳhak tilsim-e-shab-o-roz

    garche uljhī huī taqdīr ke pechāk meñ hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now