hai bas-ki har ek un ke ishāre meñ nishāñ aur
hai bas-ki har ik un ke ishāre meñ nishāñ aur
karte haiñ mohabbat to guzartā hai gumāñ aur
yā-rab vo na samjhe haiñ na samjheñge mirī baat
de aur dil un ko jo na de mujh ko zabāñ aur
abrū se hai kyā us nigah-e-nāz ko paivand
hai tiir muqarrar magar is kī hai kamāñ aur
tum shahr meñ ho to hameñ kyā ġham jab uTheñge
le ā.eñge bāzār se jā kar dil o jaañ aur
har chand subuk-dast hue but-shikanī meñ
ham haiñ to abhī raah meñ hai sañg-e-girāñ aur
hai ḳhūn-e-jigar josh meñ dil khol ke rotā
hote jo ka.ī dīda-e-ḳhūñ-nāba-fishāñ aur
martā huuñ is āvāz pe har chand sar uḌ jaa.e
jallād ko lekin vo kahe jaa.eñ ki haañ aur
logoñ ko hai ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb kā dhokā
har roz dikhātā huuñ maiñ ik dāġh-e-nihāñ aur
letā na agar dil tumheñ detā koī dam chain
kartā jo na martā koī din āh-o-fuġhāñ aur
paate nahīñ jab raah to chaḌh jaate haiñ naale
ruktī hai mirī tab.a to hotī hai ravāñ aur
haiñ aur bhī duniyā meñ suḳhan-var bahut achchhe
kahte haiñ ki 'ġhālib' kā hai andāz-e-bayāñ aur
hai bas-ki har ek un ke ishāre meñ nishāñ aur
karte haiñ mohabbat to guzartā hai gumāñ aur
yā-rab wo na samjhe haiñ na samjheñge mirī baat
de aur dil un ko jo na de mujh ko zabāñ aur
abrū se hai kyā us nigah-e-nāz ko paiwand
hai tir muqarrar magar is kī hai kamāñ aur
tum shahr meñ ho to hameñ kyā ġham jab uTheñge
le āeñge bāzār se jā kar dil o jañ aur
har chand subuk-dast hue but-shikanī meñ
hum haiñ to abhī rah meñ hai sañg-e-girāñ aur
hai ḳhūn-e-jigar josh meñ dil khol ke rotā
hote jo kaī dīda-e-ḳhūñ-nāba-fishāñ aur
martā huñ is āwāz pe har chand sar uḌ jae
jallād ko lekin wo kahe jaeñ ki hañ aur
logoñ ko hai ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb kā dhokā
har roz dikhātā huñ maiñ ek dāġh-e-nihāñ aur
letā na agar dil tumheñ detā koī dam chain
kartā jo na martā koī din āh-o-fuġhāñ aur
pate nahīñ jab rah to chaḌh jate haiñ nale
ruktī hai mirī taba to hotī hai rawāñ aur
haiñ aur bhī duniyā meñ suḳhan-war bahut achchhe
kahte haiñ ki 'ġhālib' kā hai andāz-e-bayāñ aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.