hai kahan ka irada tumhaara sanam kis ke dil ko adaon se bahlaoge
hai kahan ka irada tumhaara sanam kis ke dil ko adaon se bahlaoge
Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
hai kahāñ kā irāda tumhārā sanam kis ke dil ko adāoñ se bahlāoge
sach batāo ke is chāñdnī raat meñ kis se va'ada kiyā hai kahāñ jāoge
dekho achchhā nahīñ ye tumhārā chalan ye javānī ke din aur ye shoḳhiyāñ
yuuñ na aayā karo baal khole hue varna duniyā meñ badnām ho jāoge
aaj jaao na bechain kar ke mujhe jān-e-jāñ dil dukhānā burī baat hai
ham taḌapte raheñge yahāñ rāt-bhar tum to ārām kī niiñd so jāoge
paas aao to tum ko lagā.eñ gale muskurāte ho kyuuñ duur se dekh kar
yūñhī guzre agar ye javānī ke din ham bhī pachhtā.eñge tum bhī pachhtāoge
be-vafā be-muravvat hai in kī nazar ye badal jā.eñge zindagī luuT kar
husn vāloñ se dil ko lagāyā agar ai 'fanā' dekho be-maut mar jāoge
hai kahan ka irada tumhaara sanam kis ke dil ko adaon se bahlaoge
sach batao ke is chandni raat mein kis se wa'ada kiya hai kahan jaoge
dekho achchha nahin ye tumhaara chalan ye jawani ke din aur ye shoKHiyan
yun na aaya karo baal khole hue warna duniya mein badnam ho jaoge
aaj jao na bechain kar ke mujhe jaan-e-jaan dil dukhana buri baat hai
hum taDapte rahenge yahan raat-bhar tum to aaram ki nind so jaoge
pas aao to tum ko lagaen gale muskuraate ho kyun dur se dekh kar
yunhi guzre agar ye jawani ke din hum bhi pachhtaenge tum bhi pachhtaoge
be-wafa be-murawwat hai in ki nazar ye badal jaenge zindagi luT kar
husn walon se dil ko lagaya agar ai 'fana' dekho be-maut mar jaoge
- Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.