sharab-e-chishtiya ki hai surahi hath mein tere
sharab-e-chishtiya ki hai surahi hath mein tere
Hakeem Anwarul Haque
MORE BYHakeem Anwarul Haque
sharāb-e-chishtiya kī hai surāhī haath meñ tere
idhar sab mast hāthoñ meñ liye paimāne aate haiñ
salāmat ho abad tak aap kā mai-kHāna-e-chishtī
mai-e-vahdat jahāñ ko aap ḳhud pilvāne aate haiñ
farīdī sābarī chishtī haiñ sab bazm-e-mohabbat meñ
kisī ko tum na ye samjho ke ye begāne aate haiñ
na chūTegī mohabbat mujh se 'anvar' badr-e-chishtī kī
farishte 'ālam-e-bālā se kyā aate samjhāne aate hiiñ
sharab-e-chishtiya ki hai surahi hath mein tere
idhar sab mast hathon mein liye paimane aate hain
salamat ho abad tak aap ka mai-kHana-e-chishti
mai-e-wahdat jahan ko aap KHud pilwane aate hain
faridi sabari chishti hain sab bazm-e-mohabbat mein
kisi ko tum na ye samjho ke ye begane aate hain
na chuTegi mohabbat mujh se 'anwar' badr-e-chishti ki
farishte 'alam-e-baala se kya aate samjhane aate hin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.