Font by Mehr Nastaliq Web

humne kis raat nala sar na kiyā

Khwaja Meer Dard

humne kis raat nala sar na kiyā

Khwaja Meer Dard

ham ne kis raat naala sar na kiyā

par use aah kuchh asar na kiyā

sab ke haañ tum hue karam-farmā

is taraf ko kabhū guzar na kiyā

kyuuñ bhaveñ tānte ho banda-navāz

siina kis vaqt maiñ sipar na kiyā

kitne bandoñ ko jaan se khoyā

kuchh ḳhudā bhī ne Dar na kiyā

dekhne ko rahe taraste ham

na kiyā rahm ne par na kiyā

aap se ham guzar ga.e kab ke

kyā hai zāhir meñ go safar na kiyā

kaun dil hai vo ki jis meñ aah

ḳhāna-ābād ne ghar na kiyā

tujh se zālim ke sāmne aayā

jaan maiñ ne kuchh ḳhatar na kiyā

sab ke jauhar nazar meñ aa.e 'dard'

be-hunar ne kuchh hunar na kiyā

hum ne kis raat nala sar na kiyā

par use aah kuchh asar na kiyā

sab ke hañ tum hue karam-farmā

is taraf ko kabhū guzar na kiyā

kyuñ bhaweñ tānte ho banda-nawāz

sina kis waqt maiñ sipar na kiyā

kitne bandoñ ko jaan se khoyā

kuchh ḳhudā bhī ne Dar na kiyā

dekhne ko rahe taraste hum

na kiyā rahm ne par na kiyā

aap se hum guzar gae kab ke

kyā hai zāhir meñ go safar na kiyā

kaun dil hai wo ki jis meñ aah

ḳhāna-ābād ne ghar na kiyā

tujh se zālim ke sāmne aayā

jaan maiñ ne kuchh ḳhatar na kiyā

sab ke jauhar nazar meñ aae 'dard'

be-hunar ne kuchh hunar na kiyā

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now