humne un ke samne awwal to KHanjar rakh diya
ham ne un ke sāmne avval to ḳhanjar rakh diyā
phir kaleja rakh diyā dil rakh diyā sar rakh diyā
qatra-e-ḳhūn-e-jigar se kī tavāzo.a 'ishq kī
sāmne mehmāñ ke jo thā mayassar rakh diyā
munsifī ho to ġhazab nā-munsifī ho to sitam
us ne merā faisla mauqūf mujh par rakh diyā
kahte haiñ bū-e-vafā aatī hai un phūloñ meñ aaj
dil jo ham ne lāla-o-gul meñ milā kar rakh diyā
kal chhuḌā leñge ye zāhid aaj to saaqī ke haath
rehn ik chullū pe ham ne hauz-e-kausar rakh diyā
zulf ḳhālī haath ḳhālī kis jagah DhūñDūñ use
tum ne dil le kar kahāñ ai banda-parvar rakh diyā
shauq bhī hai vahm bhī hai kyā karūñ ai nāma-bar
kal jo likhā kaaT kar vo aaj daftar rakh diyā
'dāġh' kī shāmat jo aa.ī iztirāb-e-shauq meñ
hāl-e-dil kambaḳht ne sab un ke muñh par rakh diyā
hum ne un ke samne awwal to KHanjar rakh diya
phir kaleja rakh diya dil rakh diya sar rakh diya
qatra-e-KHun-e-jigar se ki tawazoa 'ishq ki
samne mehman ke jo tha mayassar rakh diya
munsifi ho to ghazab na-munsifi ho to sitam
us ne mera faisla mauquf mujh par rakh diya
kahte hain bu-e-wafa aati hai un phulon mein aaj
dil jo hum ne lala-o-gul mein mila kar rakh diya
kal chhuDa lenge ye zahid aaj to saqi ke hath
rehn ek chullu pe hum ne hauz-e-kausar rakh diya
zulf KHali hath KHali kis jagah DhunDun use
tum ne dil le kar kahan ai banda-parwar rakh diya
shauq bhi hai wahm bhi hai kya karun ai nama-bar
kal jo likha kaT kar wo aaj daftar rakh diya
'dagh' ki shamat jo aai iztirab-e-shauq mein
haal-e-dil kambaKHt ne sab un ke munh par rakh diya
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 22)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.