Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hum par jafā se tark-e-wafā kā gumāñ nahīñ

Mirza Ghalib

hum par jafā se tark-e-wafā kā gumāñ nahīñ

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    ham par jafā se tark-e-vafā gumāñ nahīñ

    ik chheḌ hai vagarna murād imtihāñ nahīñ

    kis muñh se shukr kījiye is lutf-e-ḳhās

    pursish hai aur pā-e-suḳhan darmiyāñ nahīñ

    ham ko sitam aziiz sitamgar ko ham aziiz

    nā-mehrbāñ nahīñ hai agar mehrbāñ nahīñ

    bosa nahīñ na dījiye dushnām sahī

    āḳhir zabāñ to rakhte ho tum gar dahāñ nahīñ

    har-chand jāñ-gudāzi-e-qahr-o-itāb hai

    har-chand pusht-e-garmi-e-tāb-o-tavāñ nahīñ

    jaañ mutrib-e-tarāna-e-hal-mim-mazīd hai

    lab parda-sañj-e-zamzama-e-al-amāñ nahīñ

    ḳhanjar se chiir siina agar dil na ho do-nīm

    dil meñ chhurī chubho mizha gar ḳhūñ-chakāñ nahīñ

    hai nañg-e-sīnā dil agar ātish-kada na ho

    hai ār-e-dil nafas agar āzar-fishāñ nahīñ

    nuqsāñ nahīñ junūñ meñ balā se ho ghar ḳharāb

    sau gaz zamīñ ke badle bayābāñ girāñ nahīñ

    kahte ho kyā likhā hai tirī sarnavisht meñ

    goyā jabīñ pe sajda-e-but nishāñ nahīñ

    paatā huuñ us se daad kuchh apne kalām

    rūhul-qudus agarche mirā ham-zabāñ nahīñ

    jaañ hai bahā-e-bosa vale kyuuñ kahe abhī

    'ġhālib' ko jāntā hai ki vo nīm-jāñ nahīñ

    jis ki pā-e-sail-e-balā darmiyāñ nahīñ

    dīvānagāñ ko vaañ havas-e-ḳhānmāñ nahīñ

    gul ġhunchagī meñ ġharqa-e-dariyā-e-rañg hai

    ai āgahī fareb-e-tamāshā kahāñ nahīñ

    kis jurm se hai chashm tujhe hasrat qubūl

    barg-e-hinā magar mizha-e-ḳhūñ-fishāñ nahīñ

    har rañg-e-gardish aa.ina ījād-e-dard hai

    ashk-e-sahāb juz ba-vidā-e-ḳhizāñ nahīñ

    juz ijz kyā karūñ ba-tamannā-e-be-ḳhudī

    tāqat harīf-e-saḳhtī-e-ḳhvāb-e-girāñ nahīñ

    ibrat se pūchh dard-e-pareshānī-e-nigāh

    ye gard-e-vahm juz basar-e-imtihāñ nahīñ

    barq-e-ba-jān-e-hausla ātish-fagan 'asad'

    ai dil-fasurda tāqat-e-zabt-e-fuġhāñ nahīñ

    hum par jafā se tark-e-wafā gumāñ nahīñ

    ek chheḌ hai wagarna murād imtihāñ nahīñ

    kis muñh se shukr kījiye is lutf-e-ḳhās

    pursish hai aur pā-e-suḳhan darmiyāñ nahīñ

    hum ko sitam aziz sitamgar ko hum aziz

    nā-mehrbāñ nahīñ hai agar mehrbāñ nahīñ

    bosa nahīñ na dījiye dushnām sahī

    āḳhir zabāñ to rakhte ho tum gar dahāñ nahīñ

    har-chand jāñ-gudāzi-e-qahr-o-itāb hai

    har-chand pusht-e-garmi-e-tāb-o-tawāñ nahīñ

    jañ mutrib-e-tarāna-e-hal-mim-mazīd hai

    lab parda-sañj-e-zamzama-e-al-amāñ nahīñ

    ḳhanjar se chir sina agar dil na ho do-nīm

    dil meñ chhurī chubho mizha gar ḳhūñ-chakāñ nahīñ

    hai nañg-e-sīnā dil agar ātish-kada na ho

    hai ār-e-dil nafas agar āzar-fishāñ nahīñ

    nuqsāñ nahīñ junūñ meñ balā se ho ghar ḳharāb

    sau gaz zamīñ ke badle bayābāñ girāñ nahīñ

    kahte ho kyā likhā hai tirī sarnawisht meñ

    goyā jabīñ pe sajda-e-but nishāñ nahīñ

    patā huñ us se dad kuchh apne kalām

    rūhul-qudus agarche mirā ham-zabāñ nahīñ

    jañ hai bahā-e-bosa wale kyuñ kahe abhī

    'ġhālib' ko jāntā hai ki wo nīm-jāñ nahīñ

    jis ki pā-e-sail-e-balā darmiyāñ nahīñ

    dīwānagāñ ko wañ hawas-e-ḳhānmāñ nahīñ

    gul ġhunchagī meñ ġharqa-e-dariyā-e-rañg hai

    ai āgahī fareb-e-tamāshā kahāñ nahīñ

    kis jurm se hai chashm tujhe hasrat qubūl

    barg-e-hinā magar mizha-e-ḳhūñ-fishāñ nahīñ

    har rañg-e-gardish aaina ījād-e-dard hai

    ashk-e-sahāb juz ba-widā-e-ḳhizāñ nahīñ

    juz ijz kyā karūñ ba-tamannā-e-be-ḳhudī

    tāqat harīf-e-saḳhtī-e-ḳhwāb-e-girāñ nahīñ

    ibrat se pūchh dard-e-pareshānī-e-nigāh

    ye gard-e-wahm juz basar-e-imtihāñ nahīñ

    barq-e-ba-jān-e-hausla ātish-fagan 'asad'

    ai dil-fasurda tāqat-e-zabt-e-fuġhāñ nahīñ

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now